% \startsong \stitle{ik but banaa_uu.Ngaa teraa aur puujaa karuu.Ngaa}% \film{Asli Naqli}% \year{1962}% \starring{Dev Anand, Sadhana}% \singer{Rafi}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: BOL ANAMOL #10919 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: % \printtitle #indian % ik but banaa_uu.Ngaa teraa aur puujaa karuu.Ngaa \-2 are mar jaa_uu.Ngaa pyaar agar mai.n duujaa karuu.Ngaa \-2 ik but banaa_uu.Ngaa \threedots ruup kii chaa.Ndii pyaar kaa sonaa prem\-nagar se laa ke terii sundar chhavi banegii dono.n chiiz milaa ke \-2 ra.ng vafaa kaa mai.n terii muurat me.n bharuu.Ngaa are mar jaa_uu.Ngaa \threedots man\-ma.ndir me.n tujhako biThaakar roz karuu.Ngaa baate.n shaam\-savere har mausam me.n ho.ngii mulaakaate.n \-2 dil kaa haal kahuu.Ngaa tujhase mai.n naa Daruu.Ngaa are mar jaa_uu.Ngaa \threedots duniyaa ek ajaayabakhaanaa lekin phir bhii faanii is dharatii par amar rahegii merii prem\-kahaanii chaahe jitane ruup me.n aa_uu.N teraa rahuu.Ngaa are mar jaa_uu.Ngaa \threedots % #endindian \endsong