% \startsong \stitle{falasafaa pyaar kaa tum kyaa jaano}% \film{Duniya}% \year{1968}% \starring{Dev Anand, Vyjayantimala}% \singer{Rafi}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Hasrat}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11077 [V S Rawat] % Transliterator: % Comments: % Credits: % \printtitle #indian % falasafaa pyaar kaa \-2 tum kyaa jaano \-2 tumane kabhii pyaar na kiyaa tumane intazaar na kiyaa Kuubasuurat ho magar pyaar ke a.ndaaz nahii.n ye kamii hai ke tumhaaraa ko_ii hamaraaz nahii.n dil me.n jab dard nahii.n baat banegii kaise saaz chhe.Daa bhii magar pyaar kii aavaaz nahii.n \-2 falasafaa pyaar kaa \threedots kaise samajhaa_uu.N ye naazuk saa fasaanaa tumako ye vo ma.nzar hai jo mahasuus hu_aa karataa hai rahatii duniyaa me.n vahii rahataa hai marakar zindaa pyaar ke naam pe jo jaan diyaa karataa hai \-2 falasafaa pyaar kaa \threedots pyaar shiirii.n ne kiyaa pyaar hii lailaa ne kiyaa pyaar miiraa ne kiyaa pyaar hii raadhaa ne kiyaa pyaar har ra.ng me.n logo.n ko sadaa detaa hai pyaar ke parde me.n ham sabakaa Kudaa rahataa hai \-2 falasafaa pyaar kaa \threedots % #endindian \endsong