% \startsong \stitle{kabhii khushiyo.n kii saragam likhe.nge}% \film{Mrityudaataa}% \year{1997}% \starring{Amitabh, Dimple, Arbaz, Madhuri, Karisma, Paresh, Ashish Vidyarthi}% \singer{Abhijit}% \music{Anand Milind}% \lyrics{Sameer}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % kabhii khushiyo.n kii saragam likhe.nge kabhii aa.Nkho.n kaa paanii likhe.nge mil kar ab ham ba.De pyaar se zi.ndagii kii kahaanii likhe.nge kabhii khushiyo.n kii \threedots sur saje na saje gunagunaate rahe.n dard me.n bhii sadaa muskaraate rahe.n ek duuje kii baaho.n me.n baiThe rahe.n saat phero.n kii rasme.n nibhaate rahe.n umr ke is hasii.n daur ko ham vaqt kii meharabaaanii likhe.nge kabhii khushiyo.n kii \threedots raat Dhal jaa_egii din guzar jaa_e.nge apanii palako.n pe sapane sa.nvar jaa_e.nge khushbuu saa.Nso.n me.n aa ke samaa jaa_egii phuul chaahat ke saare bikhar jaa_e.nge dil ke mahake hu_e gulistaa.n me.n dha.Dakano.n kii kahaanii likhe.nge kabhii khushiyo.n kii \threedots ab kisii mo.D par bhii naa bichha.De.nge ham baa.NT le.nge aa_e.nge jo ko_ii bhii Gam aaj se aur abhii se yah vaadaa rahaa jaan de ke nibhaa_e.nge apanii kasam hamane sochaa hai ham naam tere apanii ye zi.ndagaanii likhe.nge kabhii khushiyo.n kii \threedots % #endindian \endsong