% \startsong \stitle{nuktaachii.n hai Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane}% \film{Mirzaa Ghaalib}% \year{1954}% \starring{Bharat Bhushan, Suraiya}% \singer{Suraiya}% \music{Ghulam Mohammad}% \lyrics{Mirza Ghalib}% % % Contributor: BOL ANAMOL #11938 [V S Rawat] % % Song courtesy: http://www.indiascreen.com (Late Shri Amarjit Singh) % Credits: U.V. Ravindra % \printtitle #indian % aa aa aa nuktaachii.n hai, Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane usako sunaaye na bane kyaa bane baat jahaa.N baat banaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam\-e\-dil Gair phirataa hai liye yuu.N tere Kat ko ke agar ko_ii puuchhe ke ye kyaa hai to chhupaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam\-e\-dil mai.n bulaataa to huu.N usako magar ai jazbaa\-e\-dil us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane \-2 nuktaachii.n hai, Gam\-e\-dil ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish Gaalib \-2 ki lagaaye na lage aur bujhaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane % #endindian \endsong