% \startsong \stitle{ho gayaa hai mujhe pyaar ... are nahii.n honaa thaa}% \film{Pardes}% \year{1997}% \starring{Shahrukh Khan, Mahima Chaudhary, Apurva Agnihotri}% \singer{Udit Narayan, Anuradha Paudwal}% \music{Nadeem Shravan}% \lyrics{Anand Bakshi}% % % Contributor: V S Rawat % Transliterator: % Comments: % \printtitle #indian % ye muhabbat bhii ek ibaadat hai aur ye ibaadat bhii ek mohabbat hai ye bhii diivaanagii hai vo bhii diivaanagii hai ye bhii dil kii lagii hai vo bhii dil kii lagii hai mujhako kyaa ho gayaa hai sabako hairaanagii hai ho gayaa hai mujhe pyaar are nahii.n honaa thaa nahii.n honaa thaa lekin ho gayaa ho gayaa hai mujhe \threedots is pyaar ke ye kis mo.D par vo chal diyaa mujhe chho.D kar aage jaa naa sakuu.N piichhe jaa naa sakuu.N Gam dikhaa naa sakuu.N Gam chhupaa naa sakuu.N saamane tere aag kaa dariyaa Duub ke jaanaa paar ho gayaa hai mujhe \threedots zamaanaa dilo.n ko nahii.n jaanataa zamaane ko ye dil nahii.n maanataa nahii.n aur ko_ii faqat ishq hai vo jo aashiq kii nazaro.n ko pahachaanataa hai ab vaqt faisale kaa nazadiik aa gayaa hai jiine kaa hai shauq to marane ko ho jaa taiyaar ho gayaa hai mujhe \threedots vaapas kar aa_ii mai.n baabul ko shaadii kaa jo.Daa maine pyaar ko pahan liyaa hai phe.nkii maine galii me.n jhuuThii rasmo.n kii a.nguuThii to.D di_e sab laaj ke pahare mai.n har aib se chhuuTii apanaa laal dupaTTaa mere dil ke khuun se ra.ng jaa ye sa.ngam ho jaa_e saagar se mil jaa_e ga.ngaa nahii.n honaa thaa \threedots % #endindian \endsong