% \startsong \stitle{pyaar par bas to nahii.n hai meraa, lekin phir bhii}% \film{Sone Ki Chidiya}% \year{1958}% \starring{Balraj Sahni, Nutan, Talat}% \singer{Talat, Asha}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{Sahir}% % % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle #indian % pyaar par bas to nahii.n hai meraa, lekin phir bhii tuu bataa de ke tujhe pyaar karuu.N yaa naa karuu.N mere Kvaabo.n ke jharokho.n ko sajaane vaalii tere Kvaabo.n me.n kahii.n meraa guzar hai ke nahii.n puuchh kar apanii nigaaho.n se bataa de mujhako merii raato.n ke muqaddar me.n sahar hai ke nahii.n pyaar par bas to nahii.n hai \threedots kahii.n aisaa na ho paao.n mere tharraa jaae.n aur terii maramarii baaho.n kaa sahaaraa na mile ashk bahate rahe khamosh siyaah raato.n me.n aur tere reshamii aa.nchal kaa kinaaraa na mile pyaar par bas to nahii.n hai \threedots % #endindian \endsong %