% ITRANS SONG \startsong \stitle{aadhii raat ko ye duniyaa waale}% \film{Bata Do Tum (Non-Film)}% \year{}% \starring{}% \singer{Ghulam Ali}% \music{}% \lyrics{}% % Contributor: [BOL ANAMOL], V S Rawat, Nov 03, 2004 \printtitle #indian aadhii raat ko ye duniyaa waale jab Kaabo.n me.n kho jaate hai.n aise me.n muhabbat ke rogii yaado.n ke charaaG jalaate hai.n karate hai.n muhabbat sab hii magar har dil ko silaa kab milataa hai aatii.n hai.n bahaare.n gulashan me.n har phuul magar kab khilataa hai mai.n raa.Njhaa na thaa tuu hiir na thii ham apanaa pyaar nibhaa na sake yuu.N pyaar ke Kwaab bahut dekhe taabiir magar ham paa na sake mai.nne to bahut chaahaa lekin tuu rakh naa sakii waado.n kaa bharam ab rah rah kar yaad aataa hai jo tuune kiyaa is dil pe sitam pardaa jo haTaa duu.N chehare se tujhe log kahe.nge harajaa_ii majabuur huu.N mai.n dil ke haatho.n manzuur nahii.n terii ruswaa_ii sochaa hai ke apane ho.nTho.n par mai.n chup kii mohar lagaa luu.Ngaa mai.n terii sulagatii yaado.n se ab is dil ko bahalaa luu.Ngaa #endindian \endsong