% \startsong \stitle{vo kyaa dikhaae.nge raah mujh ko}% \film{}% \year{}% \starring{}% \singer{}% \music{}% \lyrics{}% % % Contributor: Porky (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % \printtitle % #indian % mai.n khud hii apanii talaash me.n huu.N meraa koii rahanumaa nahii.n hai vo kyaa dikhaae.nge raah mujh ko jinhe.n khud apanaa pataa nahii.n hai 1) bahut dino.n se mai.n sun rahaa thaa sazaa vo dete hai.n har khataa kii mujhe to isakii sazaa milii hai kii merii koii khataa nahii.n hai, vo kyaa \threedots 2) dil aa_iinaa hai tum apanii suurat sa.nvaar lo aur khud hii dekho jo nuks hogaa dikhaaii degaa ye bezubaa.N bolataa nahii.n hai, vo kyaa \threedots 3) ye aap nazare.n bachaa bachaa kar baghaar kyaa dekhate hai.n mujh ko tumhaare kaam aa sake to le lo hamaare ye kaam kaa nahii.n hai, vo kyaa \threedots 4) masarrato.n kii talaash me.n huu.N magar ye dil jaanataa nahii.n hai agar Gam\-e\-zi.ndagii nahii.n hai to zi.ndagii me.n mazaa nahii.n hai, vo kyaa \threedots % #endindian \endsong %