% ITRANS Song # % \startsong \stitle{naiNo.n kii mat maaNiyo re ... naiNaa Thag le.nge}% \film{Omkara}% \year{2006}% \starring{}% \singer{Rahat Fateh Ali Khan}% \music{Vishal}% \lyrics{Gulzar}% % % Audio on: % Tags: naina, eyes % Contributor: Vinay P Jain % Transliterator: Vinay P Jain % Date: 7 Jul 2006 % Series: Angoor Ka Daana % Comments: % generated using www.giitaayan.com. 20060924. % \printtitle #indian % (naiNo.n kii mat maaNiyo re naiNo.n kii mat suNiyo) 2 naiNo.n kii mat suNiyo re naiNaa Thag le.nge (naiNaa Thag le.nge, Thag le.nge naiNaa Thag le.nge) 2 jagate jaaduu phuu.Nke.nge jagate jagate jaaduu jagate jaaduu phuu.Nke.nge re nii.nde.n ba.njar kar de.nge naiNaa Thag le.nge ... (bhalaa-ma.ndaa dekhe Naa paraayaa Naa sagaa re naiNo.n ko to Dasane kaa chaskaa lagaa re) 2 (naiNo.n kaa zahar nashiilaa re naiNo.n kaa zahar nashiilaa) 2 baadalo.n me.n satara.ngiyaa.N bowe.n bhor talak barasaawe.n baadalo.n me.n satara.ngiyaa.N bowe.n naiNaa baawaraa kar de.nge naiNaa Thag le.nge ... naiNaa raat ko chalate-chalate swargaa.n me.n le jaawe.n megh-malhaar ke sapane biije.n harayaaLii dikhalaawe.n (naiNo.n kii zubaan pe bharosaa nahii.n aataa likhat pa.Dhat Naa rasiid Naa khaataa) 2 saarii baat hawaaii re saarii baat hawaaii biN baadal barasaawe.n saawaN saawaN biN barasaataa.N biN baadal barasaawe.n saawaN naiNaa baawaraa kar de.nge naiNaa Thag le.nge ... % #endindian \endsong