% \startsong \stitle{apanii kaho kuchh merii suno, kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae}% \film{Parchhain}% \year{1952}% \starring{V Shantaram, Jayasree, Sandhya}% \singer{Lata, Talat}% \music{C Ramchandra}% \lyrics{Noor Lucknowi}% % % Contributor: Vandana Venkatesan % Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/26/1996 % \printtitle #indian % la: apanii kaho kuchh merii suno kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae ta: rone kii aadat aisii pa.Dii ha.Nsane kaa taraanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae la: kaalii raate.n biit ga_ii.n phir chaa.Ndanii raate.n aaii hai.n \-2 ta: dil me.n nahii.n ujiyaalaa mere Gam kii ghaTaae.n chhaaii hai.n \-2 la: priit ke vaade yaad karo kyaa priit nibhaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae ta: bhuulaa huaa hai raah musaafir bichha.Daa huaa hai ma.nzil se \-2 la: khoe hue raste kaa pataa tum puuchh lo Kud apane dil se \-2 ta: chalate chalate aise thake ma.nzil kaa Thikaanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae la: nazdiik aao, nazdeek aa \threedots yah mausam nahii.n phir aane kaa \-2 ta: nazdiik shamaa ke jaane se kyaa haal huaa parvaane kaa \-2 la: miTane kaa fasaanaa yaad rahaa jalane kaa fasaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae apanii kaho kuchh merii suno kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae % #endindian \endsong %