% \startsong \stitle{mahataab teraa cheharaa}% \film{Aashiq}% \year{1962}% \starring{Raj Kapoor, Nanda, Padmini}% \singer{Lata, Mukesh}% \music{Shankar-Jaikishan}% \lyrics{Shailendra}% % % Contributor: K Vijay Kumar % Transliterator: K Vijay Kumar % Credits: % Editor: % \printtitle #indian % mahataab teraa cheharaa, kis khvaab me.n dekhaa thaa ai husn zaraa batalaa, tuu kaun mai.n kaun huu.N khvaabo.n me.n mile aqsar, ik raah chale milakar phir bhii hai yahii behatar, mat puuchh mai.n kaun huu.N mahataab teraa cheharaa ... husn-o-ishq hai.n terii jahaa.N dil kii dha.Dakane.n terii zubaa.N aaj zindagii tujhase javaa.N aagaaz hai kyaa meraa anjaam hai kyaa meraa hai meraa muqaddar kyaa, batalaa ki mai.n kaun huu.N kyo.n ghirii ghaTaa tuu hii bataa kyo.n ha.Nsii fizaa tuu hii bataa phuul kyo.n khilaa tuu hii bataa kis raah pe chalanaa hai kis gaah pe rukanaa hai kis kaam ko karanaa hai, batalaa ki mai.n kaun huu.N zi.ndagii ko tuu giit banaa dil ke saaz pe jhuum ke gaa is jahaa.N ko tuu pyaar sikhaa mahataab teraa cheharaa ... % #endindian \endsong %