% ITRANS SONG #3373 % \startsong \stitle{kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko}% \film{Kashish (non-Film)}% \year{1988}% \starring{}% \singer{Asha}% \music{Nazar Hussain}% \lyrics{Qamar Jalalvi}% % % Contributor: , 2002-08-12 % The original ghazal composition is sung by Noorjehan. Asha does a version in Kashish. % \printtitle #indian % kabhii kahaa na kisii se tere fasaane ko na jaane kaise Kabar ho ga_ii zamaane ko sunaa hai Gair kii mahafil me.n tum na jaa_oge kaho to aaj sajaa luu.N gariibakhaane ko duaa bahaar kii maa.ngii to itane phuul khile kahii.n jagah na milii mere aashiyaane ko ab aage is me.n tumahaaraa bhii naam aae gaa jo hukam ho to yahii.n chho.D duu.n fasaane ko 'qamar' zaraa bhii nahii.n tum ko Kauf\-e\-rusavaa_ii chale ho chaa.ndanii shab me.n unhe.n bulaane ko % #endindian \endsong