% ITRANS SONG # rmim0169; Created on Jan 26, 2004 % % From: naniwadekar (nani3skip45@hotmail.com) % Date: 2003-01-07 23:00:32 PST % \startsong \stitle{sharm aatii hai magar aaj ye kahanaa hogaa}% \film{Padosan}% \year{1968}% \starring{Sunil Dutt, Saira Banu, Kishore Kumar, Mehmood}% \singer{Lata}% \music{R D Burman}% \lyrics{Rajinder Krishan}% % % Contributor: dhananjay naniwadekar % Date: 07 jan 2003 % Comments: THGHT (RDB) Series % \printtitle #indian % sharm aatii hai magar aaj ye kahanaa hogaa ab hame.n aap ke qadamo.n hii me.n rahanaa hogaa aap se ruuTh ke ham jitanaa jiye Kaak jiye ka_ii ilzaam liye aur ka_ii ilzaam diye aaj ke baad magar kuchh bhii na kahanaa hogaa aap ke pyaar kaa biimaar hamaaraa dil hai aap ke Gam kaa khariidaar hamaaraa dil hai aap ko apanaa ko_ii dard na sahanaa hogaa % #endindian \endsong %