% ITRANS SONG # rmim0176; Created on Jan 26, 2004 % % From: naniwadekar (nani3skip45@hotmail.com) % Date: 2003-01-18 00:15:38 PST % \startsong \stitle{aaj ko_ii pyaar se dil kii baate.n kah gayaa}% \film{Sawan Ki Ghata}% \year{1966}% \starring{Manoj Kumar, Sharmila Tagore, Mumtaz}% \singer{Asha}% \music{O P Nayyar}% \lyrics{S H Bihari}% % % Contributor: dhananjay naniwadekar % Date: 18 jan 2003 % Comments: Geetanjali Series. % \printtitle #indian % aaj ko_ii pyaar se dil kii baate.n kah gayaa, haay mai.n to aage ba.Dh ga_ii piichhe zamaanaa rah gayaa, haay raam chiir kar patthar kaa siinaa jhuum kar jharanaa bahaa is me.n ik tuufaan thaa sau karawaTe.n letaa hu_aa aaj maujo.n kii rawaanii me.n kinaaraa bah gayaa haay, ik kinaaraa bah gayaa unake hoTho.n par ha.Nsii, haay khil ke jab laharaa ga_ii wo bhii kuchh ghabaraa ga_e mai.n bhii kuchh sharamaa ga_ii wo bhii kuchh ghabaraa ga_e aur mai.n bhii kuchh sharamaa ga_ii kuchh nahii.n kahate hu_e bhii ko_ii sab kuchh kah gayaa haay, ko_ii sab kuchh kah gayaa % #endindian \endsong %