% ITRANS SONG # rmim0515; Created on Jan 26, 2004 % \startsong \stitle{mere haal par bebasii ro rahii hai}% \film{Zamindar}% \year{1942}% \starring{Shanta Apte, Ghulam Mohammad, Narang}% \singer{Shamshad}% \music{Ghulam Haider}% \lyrics{Qamar Jalalabadi, Behzad Lucknowi}% % % Contributor: Urzung Khan, 04/04/03 % Comments: Part of song was written by Qamar jalalabadi, % and the rest by Behzad Lukhnavi. % \printtitle #indian % mere haal par bebasii ro rahii hai zahe zindagii, zindagii ro rahii hai ajab haal me.n hai merii zindagaanii ki Gam ha.Ns rahe hai.n Kushii ro rahii hai merii aarazuu bhii ko_ii aarazuu hai abhii ha.Ns rahii thii abhii ro rahii hai ko_ii miT chukaa hai ko_ii miT rahaa hai magar ronevaalii abhii ro rahii hai nahii.n ko_ii duniyaa me.n saathii kisii kaa chaman ha.Ns rahaa hai kalii ro rahii hai mere haal par \threedots % #endindian \endsong %