Fill In The Blanks [45]

chaa.Nd chhupaa aur taare Duube

Contributed by Vijay Kumar



Note: The complete version of this song is now in the consolidated ISB. The original FITB article is retained here for archival purposes.

There are several missing words in the ISB, which are corrected below.

Film: Sohni Mahiwal (1958)
Singer: Mahendra Kapoor
Music: Naushad
Lyrics: Nimmi
ISB Contributor: ShashiKant Joshi

chaa.Nd chhupaa aur taare TuuTe raat Gazab kii aaii
husn chalaa hai ishq se milane zulm kii badalii chhaaii

TuuT pa.Dii hai aa.Ndhii Gam kii, aaj pavan hai paagal
kaa.Np rahii hai dharatii saarii, chiikh rahe hai.n baadal
duniyaa ke tuufaan hazaaro.n, husn kii ik tanahaaii

maut ki naagan aaj kha.Di hai raah me.n phan phailaaye
ja.Ngal\-ja.Ngal naach rahe hai.n shaitaano.n ke saae
aaj Kudaa Kaamosh hai jaise bhuul gayaa ho Kudaaii

ghor a.Ndheraa mushkil raahe.n, qadam\-qadam pe dhokhe
aaj mohabbat ruk na sakegii, chaahe Kudaa bhii roke
raah\-e\-vafaa me.n piichhe haTanaa, pyaar kii hai rusvaaii



There are three more stanzas, with Mahendra Kapoor going progressively higher and higher in the scales.

paar nadii ke yaar ka Deraa, aaj milan hai teraa
o.Dh le tuu leharon kii chunarii baandh le mauj ka sehraa
Dole me manjhdhar ke hogii aaj teri vidaaii

Duub ke in uunchii leharon me naiyya paar lagaa le
ulfat ke tuufaan me zindaa rehate hain marane waale
jiite-jii sansaar me kisane pyaar ki manzil paaii

tere dil ke khuun se hogaa laal chenaab ka paani
duniyaa kii taariikh me likhi jaayegi yeh qurbaani
sohni aur mahiwaal ne apani ishq me jaan ganvaaii

There follows a brief coda in Lata-Rafi's voices with some amazing wordless chorus in the background.
hamaare pyaar ke kisse sunaaye jaayenge
yeh giit saare zamaane me gaaye jaayenge
ham na honge fasaana hogaa (2)
aane waale ko aanaa hogaa, jaane waale ko jaanaa hogaa


Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article