Fill In The Blanks [51]

zaruurat hai, zaruurat hai

Contributed by Vandana Vidwans



Film: Man Mauji (1962)
Singer: Kishore Kumar
Music: Madan Mohan
Lyrics: Rajinder Krishan
ISB Contributor:

zaruurat hai zaruurat hai saKt zaruurat hai!

(zaruurat hai zaruurat hai zaruurat hai
ek shriimatii kii, kalaavatii kii, sevaa kare jo pati kii ) \- 2
zaruurat hai zaruurat hai zaruurat hai

hasii.n hazaaro.n bhii ho.n kha.De, magar usii par nazar pa.De \- 2
ho zulf gaalo.n pe khelatii, ke jaise din raat se la.De
ho ho ho ho
adaao.n me.n bahaar ho, nigaaho.n me.n Kumaar ho
qubuul meraa pyaar ho to kyaa baat hai
zaruurat hai zaruurat hai zaruurat hai ...

itar me.n saa.Nse.n basii basii, ho mastiyo.n me.n rasii rasii \- 2
daraaz palake.n jhukii jhukii, bha.Nve.n ghanerii kasii kasii
ho ho ho ho
phuulo.n me.n gulaab ho Kud apanaa javaab ho
vo pyaar kii kitaab ho to kyaa baat hai
zaruurat hai zaruurat hai zaruurat hai ...

haa.N haa.N! shriimatii kii
ho ho ! kalaavatii kii
sevaa kare jo pati kii
zaruurat hai zaruurat hai saKt zaruurat hai!


The missing stanza is this:

jhaTak ke gesuu jahaa.N chale, to saath me.n aasamaa.N chale \-2
lipaT ke kitane bhi paa.Nv se, yah puuchhate ho kahaa.N chale
ho ho ho ho
pyaar se jo kaam le, ha.Ns ke salaam le
vo haath meraa tham le, to kya baat hai
zaruurat hai zaruurat hai zaruurat hai ...
This installment of FITB was posted on 4 August 1999 to commemorate Kishore Kumar's birthday.


Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article