Fill In The Blanks [56]

pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii

Contributed by Ketan Dholakia



The ISB has the Talat-Asha duet version of this song. The ISB version is given below, with several corrections:

Film: Lala Rukh (1958)
Singer: Talat, Asha (duet); Asha (solo)
Music: Khaiyaam
Lyrics: Kaifi Azmi
ISB Contributor: Pavan Kumar Desikan

ta: pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: itanii gustaaK na ho ishq kii aavaaraa nazar
husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa
ta: tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: chaa.Nd taaro.n ko mayassar hai nazaaraa teraa
merii betaab nigaaho.n se ye paradaa kyo.n hai
aa: chaa.Nd aaiinaa meraa, taare meraa naqsh\-e\-qadam
Gair ko aa.Nkh milaane kii tamannaa kyo.n hai
ta: tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: tujhako dekhaa tujhe chaahaa tujhe puujaa mai.nne
bas yahii isake sivaa merii Kataa kyaa hogii
aa: mai.nne achchhaa kiyaa ghabaraake jo mu.Nh pher liyaa
isase kam dil kii ta.Dapane kii sazaa kyaa hogii
ta: tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa

ta: pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaanaa hogaa
aa: itanii gustaaK na ho ishq kii aavaaraa nazar
husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa


Most of the corrections to the ISB version are minor (e.g. replacing "hamane" with the correct "mai.nne" in the second verse). However, there is a major change in the sthaayii. The ISB has the line as
husn kaa paaTh nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa
"paaTh" is a good guess, but wrong. The correct word is "paas," which according to the online Urdu dictionary translates as "custody, regard, supervision." In this context it means regard or respect, connecting to "gustaaK" in the previous line.

The ISB is missing the lyrics to the Asha solo version of this song. They are as follows:

pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
chaa.Nd me.n nuur na taaro.n me.n chamak baaqi hai
ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa

ai mujhe hijr kii raato.n me.n jagaanevaale
jaa kabhii nii.nd judaaii me.n na aayegii tujhe
subah Tapakegii terii aa.Nkh se aa.Nsuu banake
raat siine kii kasak ban ke jagaaegii tujhe
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa

koii aramaa.N hai.N na hasarat hai, na ummiide.n hai.n
ab mere dil me.n muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
ye muqaddar kii Karaabii ye zamaane ka sitam
bewafaa terii inaayat ke sivaa kuchh bhii nahii.n
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa

pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke
tujhako paradaa ruK\-e\-roshan se haTaana hogaa
In the movie Talat sings the last two lines, but on audio releases this version is entirely in Asha's voice.



Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article