Fill In The Blanks [59]

mai.n jab bhii akelii

Contributed by Arunabha Shashanka Roy and Vijay Kumar



N Datta's moving melody wonderfully complements the longing portrayed in the lyrics of this song.

Film: Dharmaputra (1961)
Singer: Asha Bhosle
Music: N Datta
Lyrics: Sahir Ludhianvi
ISB Contributor: U V Ravindra and Preetham Gopalaswami

mai.n jab bhii akelii hotii huu.N, tum chupake se aa jaate ho
aur jhaa.Nk ke merii aa.Nkho.n me.n, biite din yaad dilaate ho
biite din yaad dilaate ho

mastaanaa havaa ke jho.Nko.n se har baar vo parde kaa hilanaa
parde ko paka.Dane kii dhun me.n do ajanabii haatho.n kaa milanaa
aa.Nkho.n me.n dhuaa.N saa chhaa jaanaa saa.Nso.n me.n sitaare se khilanaa
biite din yaad dilaate ho, biite din yaad dilaate ho

mu.D\-mu.D ke tumhaaraa raste me.n takanaa vo mujhe jaate\-jaate
aur meraa ThiThak kar ruk jaanaa chilaman ke qariib aate\-aate
nazaro.n kaa taras kar rah jaanaa ek aur jhalak paate\-paate
biite din yaad dilaate ho, biite din yaad dilaate ho

ro\-ro ke tumhe.n Kat likhatii huu.N
ro\-ro ke tumhe.n Kat likhatii huu.N aur Kud pa.Dhakar ro letii huu.N
haalaat ke tapate tuufaa.n me.n jazbaat kii kashtii khetii huu.N
kaise ho? kahaa.N ho? kuchh to kaho, mai.n tum ko sadaae.n detii huu.N
mai.n jab bhii akelii hotii huu.N


The video contains not one, but two additional stanzas. They are the third and fourth, with "ro\-roke tumhe.n ..." being the fifth and final one. :

baalo.n ko sukhaane kii Kaatir koThe pe vo meraa aa jaanaa
aur tumako muqaabil paate hii kuchh sharmaanaa kuchh balakhaanaa
hamasaayo.n ke Dar se kataraanaa, gharwaalo.n ke Dar se ghabaraanaa
biite din yaad dilaate ho, biite din yaad dilaate ho

barasaat ke bhiige mausam me.n, sardii kii ThiTharutii raato.n me.n
paharo.n vo yu.N hii baiThe rahanaa haatho.n ko paka.Dakar haatho.n me.n
aur la.mbii la.mbii gha.Diyo.n kaa kaT jaanaa baato.n baato.n me.n
biite din yaad dilaate ho, biite din yaad dilaate ho
Quite a long song, this, for a black-and-white film. An entire six-and-a-half minutes.



Previous Article   |   FITB Home   |   Alphabetical Index   |   Index by Serial Number   |   Next Article