Posted by: Shalini-Sarita@viman.engr.sgi.com (rjgk46@yahoo.com) Subject: RJGK 46 : Saare Jahan Se Achcha Hindusitaan Hamara - Answers(Long) Posting Date: 28 Sep 1998 20:20:59 -0700 Folks, Here is the answer post for RJGK 46. The result will be posted in week or so. Enjoy! Shalini-Sarita ------------------------------------------------------------------------- ******************************************************** Firstly the praise of our land and ourselves godii mein khelatii hain, jisake hazaaron nadiyaan gulashan hai jisake dam se, rashk-e-jinaan hamaaraa ******************************************************** 1. Ye dharatii vo jahaan rishhi muni japate prabhu naam kii maalaa jahaan har baalak ek mohan hai aur raadhaa har ek baalaa Alas my bird of gold! ~~~~~~~~~~~~== sone ki chidiyaa *** jahaa.N Daal-Daal par sone kii chi.Diyaa.n karatii hai baseraa vo bhaarat desh hai meraa jahaa.N satya, ahi.nsaa aur dharm kaa pag-pag lagataa Deraa vo bhaarat desh hai meraa Film : Sikandar-e-Aazam Singer : Mohammad Rafi Music Director : Hansraj Bahal Lyricist : Rajinder Krishan Availability : ITRANS Highlight of the song: kahii.n diivaalii kii jagamag hai kahii.n hai.n holii ke mele jahaa.n raag ra.ng aur ha.Nsii khushii kaa chaaro aur hai gheraa ---------------------------------------------------------------------------- 2. Jo jisase milaa sikhaa hamane gairon ko bhii apanaayaa hamane chora ganga kinare waala?? ~~~~~~~~~~~~~~~~~~ == pointer to ganga, but pretty simple without clue itself *** hoTho.n pe sachchaaii rahatii hai jahaa.n dil me.n safaaii rahatii hai ham us desh ke vaasii hai.n, ham us desh ke vaasii hai.n jis desh me.n ga.ngaa bahatii hai Film : Jis Desh Mein Ganga Behti Hai Singer : Mukesh Music Director : Shankar-Jaikisan Lyricist : Shailendra Availability : ITRANS Highlight of the song: mehamaa.n jo hamaaraa hotaa hai vo jaan se pyaaraa hotaa hai zyaadaa kii nahii.n laalach hamako tho.De me guzaaraa hotaa hai kuchh log jo zyaadaa jaanate hai.n insaan ko kam pahachaanate hai.n ye puurab hai puurabavaale har jaan kii kiimat jaanate hai.n mil jul ke raho aur pyaar karo ek chiiza yahii jo rahatii hai ---------------------------------------------------------------------------- 3. Dilabar ke liye diladaar hain ham dushman ke liye talavaar hain ham With this challenge we start the new era. ~~~~~~~ == Naya Daur *** ye desh hai viir javaano.n kaa alabelo.n kaa mastaano.n kaa is desh kaa yaaro.n ... hoy!! is desh kaa yaaro.n kyaa kahanaa ye desh hai duniyaa kaa gahanaa Movie Name : Naya Daur Singer : Mohammad Rafi Music Director : Onkar Prasad Nayyar Lyricist : Sahir Ludhianvi Availability : ITRANS Highlight of the song: yahaa.N chau.Dii chhaatii viiro.n kii yahaa.N bholii shakle.n hiiro.n kii maidaa.n me.n agar ham daT jaae.n mushkil hai ke piichhe haT jaae.n ---------------------------------------------------------------------------- 4. Kuud padii thii yahaan hazaaron padminiyan angaroon pe This land is made up of lot sacifices... ~~~ ~~~~~~~~~ dharti balidaan == dharti hai balidaan ki *** aao bachcho.n tumhe.n dikhaae.n jhaa.Nkii hi.ndustaan kii is miTTii se tilak karo ye dharatii hai balidaan kii va.nde maataram ... film : Jaagriti Singer : Pradeep Music Director : Hemant Kumar Lyricist : Pradeep Availability : ITRANS Highlight of the song: The whole song itself ---------------------------------------------------------------------------- 5. Kuchh aur na aataa ho hamako hamen pyaar nibhaanaa aataa hai East aur west, India is the best ~~~~~~~~~~~~~ Purab Aur Paschim *** hai priit jahaa.N kii riit sadA mai.n giit vahaa.n ke gAtaa huu.n bhaarat kA rahane vaalaa huu.n bhaarat kii baat sunaataa huu.n Film : Poorab Aur Paschim Singer : Mahendra Kapoor Music Director : Kalyanji-Anandji Lyricist : Indeevar Availability : ITRANS Highlight of the song: jIte ho kisIne desh to kyA hamane to dilo.n ko jItA hai jahaa.N raam abhii tak hai nar me.n naarii me.n abhii tak sItaa hai itanaa aadar insaan to kyA patthar bhI puuje jaate.n hai is dharatii pe mai.nne janam liyaa ye soch ke mai.n itaraataa huu.n ---------------------------------------------------------------------------- 6. Kahan re himaala aisa kahan aisa paani yehi woh zamee~~n jiski duniya deewani sundaari na aisi koi jaisi dharti hamari Sounds romantic, ye we are the worshipper of love... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~ == Prem Pujari *** Prem ke pujaarii ham hai ras ke bhikhaarii ham hai prem ke pujaarii Film : Prem Pujari Singer : Sachin Dev Burman Music Director : Sachin Dev Burman Lyricist : Neeraj Availability : Not in ITRANS, nither in RMIM automailer Highlight of the song: the line in the clue itself ---------------------------------------------------------------------------- 7. Tumhi vidyaa tumhi dharma, tumhi hridiya tumhi marma Salutaion to motherland!!!!! ~~~~~~~~~ ~~~~~~ Vande mata == Vandemataram *** vande maataram.h sujalaa.n suphalaa.n malayajashiitalaam.h shasya shyaamalaa.n maatara.n . shubhra jyotsna pulakita yaaminiim phulla kusumita drumadalashobhiniim.h, suhaasinii.n sumadhura bhaashhiNiim.h . sukhadaa.n varadaa.n maataram.h .. vande maataram.h Film : Anand Math Singer : Lata Mangeshkar Music Director : Hemant Kumar Lyricist : Bankimchandra Availability : ITRANS Highlight of the song: The whole song itself ---------------------------------------------------------------------------- 8. yeh saari duniya apne apne geeton ko gaaye geet woh gaao jisse is mitti ki khusboo aaye There is no other place in this world like our own INDIA... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ saare jag mein kahin nahin hai dusara hindustaan(literal translation) Londan dekha, paris dekha, aur dekha japan michael dekha, elvis dekha, sab dekha meri jaan saare jag mein kahin nahin hai dusara hindustaan dusara hindustaan, dusara hindustaa~~~n Yeh duniya ek dulhan, dulhan ke maathe ki bindiyaa Yeh mera INDIA, I LOVE my INDIA Film : Pardes Singer : Kavita Krishanamurthy, Hariharan, Shanker Mahadevan, Aditya Narayan Music Director : Nadeem Shravan Lyricist : Anand Bakshi Availability : Not in ITRANS (New movie) Highlight of the song: watan mera INDIA, sajan mera INDIA ;):) ******************************************************** The country is safe when its protected and secured Parvat ho sabase uunchaa, hamasaayaa aasamaan kaa vo santarii hamaaraa, vo paasavaan hamaaraa" ******************************************************** 9. keh do dushman ki nazar udhe na is taraf keh do ki hum betaar hai keh do hum tayyar hai Show them we are all one... Awaaz do hum ek hai hum ek hai Film : None Singer : Mohd. Rafi Music Director : Lyricist : Sahir Availability : Not in ITRANS Highlight of the song: The whole song itself ---------------------------------------------------------------------------- 10. lakh fauje lekar aman ka dushman koi ruk nahin sakta hamari ekta ke samaane Our freedom is too precious to lose... ~~~~~~~~~~~ ~~~~ apni aazaadii lutaa *** apanii aazaadii ko ham haragiz miTaa sakate nahii.n sar kaTaa sakate hai.n lekin sar jhukaa sakate nahii.n Film : Leader Singer : Mohammad Rafi Music Director : Naushad Lyricist : Shakeel Availability : ITRANS Highlight of the song: kitane viiraano.n se guzare hai.n to jannat paaii hai gar vatan me.n bhii milegaa koI gaddaar-e-vatan apanii taaqat se ham usakaa sar kuchalate jaae.nge ---------------------------------------------------------------------------- 11. Bhent apane saroon kii chadhaa jaayenge Only the basanti clad can do it... ~~~~~~~~~~~~ basanti choola == Sardar Bhagat Singh *** tuu nA ronA, ke tU hai bhagat si.nh kii maa.N mar ke bhI laal terA maregaa nahii.n Dolii cha.Dhake to laate hai dulhan sabhii ha.Nsake har koI phaa.Nsii cha.Dhegaa nahii.n jalate bhii gaye kahate bhii gaye aazaadii ke paravaane jiinaa to usiikaa jiinaa hai jo maranaa desh par jaane jab shahiido.n kii Dolii uThe dhuum se deshavaalo.n tum aa.Nsuu bahaanaa nahii.n par manaao jab aazaad bhaarat kA din us gha.Dii tum hame.n bhuul jaanaa nahii.n ai vatan ai vatan hamako terii qasam terii rAho.n mai.n jaa.n tak luTaa jaaye.nge phuul kyaa chiiz hai tere kadamo.n pe ham bhe.nT apane saro.n kii cha.Dhaa jaaye.nge ai vatan ai vatan Film : Sardar Bhagat Singh Singer : Mohammad Rafi Music Director : Lyricist : Availability : ITRANS Highlight of the song: The lines in the answer ---------------------------------------------------------------------------- 12. andha beta yudh chala jo pe naa jaa na ja uski maa boli woh bola kam kar saqta hoon main bhi dushman ki ek goli Don't stop anyone its a call to each and every brave at the time of attack... ~~~~~~ aakaraman *** dekho veer jawaano apne khoon pe ilzaam na aaye maa ye na kahe ki beta waqt pada tum kaam na aaye Film : Aakraman Singer : Kishore Kumar Music Director : Lakshmikant-Pyaarelal Lyricist : Anand Bakshi Availability : Not in ITRANS Highlight of the song: jikr saheedo ka ho jab usme kyu naam na mera aaye abdul paale unke bacche laut ke ghar jo raam na aaye ---------------------------------------------------------------------------- 13. Kheench do apane khoon se zameen par lakeer is taraf aane paaye na raavan koii Truth of border security... ~~~~~ haqeeqat *** kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyo.n ab tumhaare havaale vatan saathiyo.n Film : Haqeekat Singer : Mohammad Rafi Music Director : Madan Mohan Lyricist : Kaifi Azmi Availability : ITRANS Hightlight of the song: The whole song itself ---------------------------------------------------------------------------- 14. Pahaad tak bhii kaanpane lage tere junoon se too aasamaan pe inqalaab likh de apane khoon se Call to all martyrs... ~~~~~~~ shaheed *** vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho pukaarate hai.n ye zamiin-o-aasamaa.n shahiid ho Film : Shaheed Singer(s) : Mohammad Rafi, Mastan Music Director : Ghulam Haider Lyricist : Raja Mehdi Ali Khan Availability : ITRANS Highlight of the song: vatan kii laaj jisako thii ajiiz apanii jaan se vo naujavaan jaa rahaa hai aaj kitanii shaan se is ek javaan kii khaak par har ik javaa.n shahiid ho hai kaun khushanasiib maa.N ki jisakaa ye chiraaG hai vo khushanasiib hai kahaa.N ye jisake sar kaa taaj hai amar vo desh kyuu.N na ho ki tuu jahaa.N shahiid ho ************************************************************** But before protecting from outer sources we should be integrated and united amongst ourselves "Majahab nahiin sikhaataa, aapas men bair rakhanaa hindii hain ham vatan hain, hindostaan hamaaraa" ************************************************************** 15. aassam se gujraat tak bangaal se maharashtra tak jaati kai guun ek hai bhasha kai suur ek hai India is like bunch of different roses with lot of thorns may be... ~~~~~ ~~~~~ bharat Roja *** bhaarat hamako jaan se pyaaraa hai sabase nyaaraa gulistaa.n hamaaraa hai sadiyo.n se bhaarat bhuumi duniyaa kii shaan hai bhaarat maa.n kii rakshaa me.n jiivan qurbaan hai bhaarat hamako jaan se ... Film : Roja Singer : Hariharan Music Director : A R Rahman Lyricist : Availability : ITRANS Highlight of the song: hindustaanii naam hamaaraa hai, sabase pyaaraa desh hamaaraa hai janmabhuumi hai hamaarii shaan se kahe.nge ham ---------------------------------------------------------------------------- 16. Dekho ye dharatii ham sab kii maataa hai socho aapas mein kyaa apanaa naataa hai You are all lovers of one country... ~~~~~~ ~~~~~~~ premi desh *** nafarat kii laaThii to.Do, laalach kaa kha.njar phe.nko zid ke piichhe mat dau.Do, tum prem ke pa.nchhii ho desh premiyo.n, aapas me.n prem karo desh premiyo.n ... Film : Desh Premee Singer : Mohd. Rafi Music Director : ?? Lyricist : ?? Availability : ITRANS Highlight of the song: to.Do, diivaare.n, ye chaar dishaao.n kii roko, mat raahe.n in, mast havaao.n kii puurab pash{}chim uttar dakkhin vaalo.n meraa matalab hai is maaTii se puuchho kyaa bhaashhaa kyaa isakaa mazahab hai phir mujhase baat karo, mere desh premiyo.n ... ---------------------------------------------------------------------------- 17. Wohi hain jaan wohi hai tan kahaan talak chuupaooge(2) pehaan ke reshaa~~mi libaas tum badal na jaoge ki ek jaat he sabhi(2) to baat hai ajeeb kya We are all made up of same soil so why this discrimination.... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ baane ho ek khaak se *** baane ho ek khaak se to door kya kareeb kya lahoo ka rang ek hai to ameer kya gareeb kya Film : Aarti Singer : Lata Mangeshkar Music Director : Roshan Lyricist : Majrooh Sultanpuri Availability : Not in ITRANS, but can be found by RMIM automailer Highlight of the song : gareeb hai woh is liye ki tum ameer ho gaye ki ek baadsaah huaa to sauu faakeer ho gaaye khata hai ye samaaj ki bhala bura naseeb kya Pretty socialistic view, is'nt it! ---------------------------------------------------------------------------- 18. Kudarat ne to banai thi ek hi duniya hamane use hindu aur musalaman banaya You will be the messenger of peace for everybody... ~~~ ~~~~~~~~ ~~~~~ ~~~~~~~~~ tu paigham aman sab == tu sab ke liye aman ka paigham banega *** tuu hindU banegA nA musalamAn banegaa insaan kI aulAd hai insaan banega Film : Dhool Ka Phool Singer : Mohammad Rafi Music Director : N. Datta Lyricist : Sahir Ludhianvi Availability : ITRANS Highlight of the song : ye din ye ImAn dharam bechane vAle dhan-daulat ke bhUkhe vatan bechane vAle tuu inake liye maut kA ailaan banegA ---------------------------------------------------------------------------- 19. Ram ke bhakt raheem ke bande rachte aaj fareb ke fande kitne yeh makkar yeh andhe dekh liye inke bhi dhande Why everydody has changed... ~~~~~~~~~~~ == badal gaya (insaan) *** dekh tere sa.nsaar kii haalat kyaa ho ga_ii bhagavaan kitanaa badal gayaa inasaan kitanaa badal gayaa inasaan suuraj na badalaa chaa.nd na badalaa naa badalaa re aasamaan kitanaa badal gayaa inasaan kitanaa badal gayaa inasaan Film : Nastik Singer : Pradeep Music Director : Chitalkar Ramchandra Lyricist : Pradeep Availability : ITRANS Highlight of the song : The whole song itself ---------------------------------------------------------------------------- 20. Kis ke sar ilzam dhare hum aaj kahan fariyaad karen hum karte he jo aaj ladai sab ke sab he apne hi bhai Where is the old love of this today's man... ~~~~~ ~~~~~~~~ ~~~~~~~ ~~~ kahaan puraana pyaar aaj insaan *** aaj ke insaan ko yeh kya ho gayaa, iska puraana pyar kahan pe kho gaya kaisi yeh manhoos ghadi hai, bhaiyo mein jang chidhi hai sab ka mathaa aaj jhuka hai, azaadi ka juluus ruka hai Film : Amar Rahe Pyaar Singer : Pradeep Music Director : Chitalkar Ramchandra Lyricist : Pradeep Availability : Not in ITRANS Host: Lyrics are distinct Pradeep style, the song is like a poetry which sung in great pathos and pain about dissappointment on bloodshed at partition of country during 1947. Highlights of the song: humne apne watan ko dekha, aadmi ke patan ko dekha ghar ko laga di aag ghar ke chiraago ne roti salma roti hai seeta, rote hai kuran aur geeta ---------------------------------------------------------------------------- 21. loot rahe hain desh ki daulat lobhi rishwatkhor yahan kaat rahe janta ki zebe watan ke dushman chor yahan ghar ka bhedi lanka dhaye... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ == ghar mein chupe huye gaddaro se (The song was highlighted when Pradeep was conferred by DSP award, recent thread few weeks old to the quiz) *** kahani ek baat hume is desh ke pheredaaro se sambhal ke rahan apne ghar mein chupe huye gaddaro se Film : Talaaq Singer : Manna Dey Music Director : Chitalkar Ramchandra Lyricist : Pradeep Availability : Not in ITRANS Highlights of the song: There were few impressive lines in the song. I can't remember them now. ***************************************************** We should all pledge to take our motherland to path of success and progress "Yuunaan, misr, romaa.n, sab miT gae jahaa.N se ab tak magar hai baakii, naam-o-nishaa.n hamaaraa" ***************************************************** 22. Ham ko kitane tajamahal hein aur banaane We Indian can do a lot! ~~ ~~~~~~ Hum Hinustaani *** chho.Do kal kii baate.n, kal kii baat puraanii nae daur me.n likhe.nge, mil kar na_ii kahaanii ham hi.ndustaanii, ham hi.ndustaanii Film : Hum Hindustani Singer : Mukesh Music Director : Usha Khanna Lyricist : Availability : ITRANS Highlights of the song: nayaa khuun hai na_ii uma.nge.n, ab hai na_ii javaanii raam kii is dharatii ko gautam ki bhuumii ko sapano.n se bhii pyaaraa hi.ndustaan banaae.n ---------------------------------------------------------------------------- 23. ae watan mehboob mere tujh pe dil qurban hai Ever heard of patritic and romantic song in tandem, do some work... ~~~~ karm *** Mera karma tu mera dharma tu... dil diya hai jaan bhi denge aiye watan tere liye Film : Karma Singer : Kavita Krishnamurthy Music Director : Laksmikant-Pyaarelal Lyricist : Anand Bakshi Availability : Not in ITRANS Highlights of the song: Feel free to add ---------------------------------------------------------------------------- 24. Phaulaad se banaa hai har naujavan hamaaraa mil-julake is vatan ko aisaa sajaayenge ham hairat se moonh takegaa saaraa jahaan hamaaraa Vashudeva Kutumbham!!!! ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ sara jahan hamara *** chiin-o-arab hamaaraa, hindostaa.n hamaaraa rahane ko ghar nahii hai, saaraa jahaa.n hamaaraa chiin-o-arab hamaaraa ... Film : Phir Subah Hogi Singer : Mukesh Music Director : Khaiyyam Lyricist : Sahir Ludhianvi Availability : ITRANS Highlights of the song: tAliim hai adhuurii, milatii nahii majuurii maaluum kyaa kisIko, dard-e-nihaa.n hamaaraa ---------------------------------------------------------------------------- 25. Vishv vijay kar ke dikhalaaye, tab hoye praan puurn hamaaraa On the path of freedom and success, long live the tricolor... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Aazaadi ki raah par jhanDaa uuNchaa rahe hamaaraa *** vijayii vishava tira.ngaa pyaaraa jha.nDaa uu.Nchaa rahe hamaaraa Film : Aazaadii Ki Raah Par(1948 debutant movie of Sahir) Singer : B.S.Nanji & Chorus Music Director : J.D.Kapur Lyricist : Shyamlal Gupta "Parshad" Availability : ITRANS Host: Almost every one of you commented on the song being non-filmi, but it is not. The details cannot be more accurate as they were provided by Hamraaz, compiler of Geet Kosh himself. Highlights of the song: kaa.Npe shatru dekh kar man me.n, miT jaaye sa.nkaT saaraa jha.nDaa uu.Nchaa rahe hamaaraa isakii shaan na jaane paaye, chaahe jaan bhale hii jaaye vish{}v vijay kar ke dikhalaaye, tab hoye praaN puurN hamaaraa jha.nDaa uu.Nchaa rahe hamaaraa ---------------------------------------------------------------------------- 26. Insaaniyat ke sar par izzat kaa taaj rakhanaa tan man bhii bhent dekar bhaarat kii laaj rakhanaa Follow the path of justice... ~~~~~~~~~~~~~~~ == insaaf ki dagar *** insaaf kii Dagar pe, bachcho.n dikhaao chal ke ye desh hai tumhaaraa, netaa tumhii.n ho kal ke Film : Ganga Jamuna Singer : Hemant Kumar Music Director : Naushad Lyricist : Shakeel Badayuni Availability : ITRANS Highlights of the song: jiivan nayaa milegaa a.ntim chitaa me.n jal ke ---------------------------------------------------------------------------- 27. Ab vaqt aa gayaa hai mere hansate hue phuulon uthho chhalaang maar ke aakaash ko chhuu lo Take care of our motherland. ~~~~~~~~~ ~~~~~~~~~~ sambhaal ke desh *** ham laaye hai tufaan se kistii nikaalke is desh ko rakhana mere bachcho.n sambhaalke Film : Jagriti Singer : Hemant Kumar Music Director : C. Ramachandra Lyricist : Pradeep Availability : ITRANS Highlights of the song: aaraam kii tum bhuul bhulayyaa me.n nA bhuulo sapano.n ke hi.nDolo.n pe magan hoke nA jhuulo ab vaqt aa gayaa hai mere ha.Nsate hue phuulo.n uTho chhalaa.Ng maar ke aakaash ko chhuu lo tum gaa.D do gagan pe tira.ngaa uchhaal ke Just listen to pitch of the Rafi's voice, it certainly awakens inner strength. ---------------------------------------------------------------------------- 28. shanti ka unnati ka pyaar ka chaman iske vaaste nisaar hai mera tan mera man There are many heartburns before success... ~~~~~~~~~~ Diljaale *** mera desh mera mulq mera ye watan iske waaste nisaar hai mera tan mera man Film : Diljaale Singer : Music Director : Anu Malik Lyricist : Javed Akhthar Availability : new movie Highlights of the song: Cannot remember **************************************************** The country is more missed by people who don't live there(may sound hypocritical but its a bitter truth) "Gurabat men hon agar ham, rahataa hai dil vatan mein samajho vahiin hamen bhii, dil ho jahaan hamaaraa" **************************************************** 29. is shehar se acha he bahut apna woh gao panghat he yahan koi na peepal ki woh chao Feeling homesick, its relation of ... ~~~~~~~~~~~~~~~~ ~~~~~~~~ yaad-e-watan rishta *** yuu.N nii.nd se vo jaan-e-chaman jaaga uThii hai parades mai.n phir yaad-e-vatan jaag uThii hai Film : Dard ka Rishta Singer : Kishore Kumar Music Director : R. D. Burman Lyricist : Anand Bakshi Availability : ITRANS(but does not have the above paragraph) Host: We were quite dissappointed to note that very few participants solved this one where as this song was highlighted in NG on each discussion about songs picturised on emotions of NRI. Highlight of the song: begaane bahut ache hai begaane hai lekin begaano mein apno ki lagan jaag uthi hai ---------------------------------------------------------------------------- 30. Aa~~ja umra bahut he chooti apne ghar mein bhi he roti Someone has written to your name... ~~~~~~~~~~~ ~~~~ likhaa hai naam *** chiTThii aaii hai aaii hai chiTThii aaii hai -2 chiTThii hai vatan se chiTThii aayii hai ba.De dino.n ke baad, ham bevatano.n ko yaad -2 vatan kii miTTii aaii hai, chiTThii aaii hai ... Film : Naam Singer : Pankaj Udhas Music Director : Laxmikant-Pyarelal Lyricist : Anand Bakhshi Availability : ITRANS Highlight of the song: saat samu.ndar paar gayaa tuu, hamako zi.ndaa maar gayaa tuu khuun ke rishte to.D gayaa tuu, aa.Nkh me.n aa.Nsuu chho.D gayaa tuu The whole song is too melodramatic. ---------------------------------------------------------------------------- 31. Aaj hi aaja gaata hansta tera rasta dekhe rasta Please come back... ~~~~~~~~~ == aajaa *** ghar aaja pardesi tera desh bulaaye Film : Dilwale Dulhaniya Le Jayengey Singer(s) : Pamela Chopra, Manpreet Kaur, chorus Music Director(s) : Jatin-Lalit Lyricist : Anand Bakshi Availability : New movie Highlight of the song: is gao ki unpadh mitti padh nahin sakti teri chithi ---------------------------------------------------------------------------- 32. Choom luun main us zubaan ko jis pe aaye tera naam Everything is for you only my beloved country... ~~~~~~~~~~~~~~~~~~ mere pyaare watan *** ai mere pyaare vatan, ai mere bichha.De chaman tujh pe dil qurabaan tuu hii merii aarazuu, tuu hii merii aabaruu tuu hii merii jaan Film : Kabulivala Singer : Manna Dey Music Director : Salil Chaudhari Lyricist : Prem Dhawan Availability : ITRANS Highlight of the song: whole song itself ****************************************************** Lest we forget "'iqabaal' koi marahuum, apanaa nahiin jahaan mein maaluum kyaa kisii ko, dard-e-nihaan hamaaraa" ****************************************************** 33. Vo gae ki rah sake swatantrataa swadesh kii vishwa bhar mein maanyataa ho mukti ke sandesh kii Shradhanjali to those immortal warriors(Non-Film) ~~~~~~~~ ~~~~~~~~ amar samar *** jo samar me.n ho gae amar, mai.n unakii yaad me.n gaa rahii huu.N aaj shradhdhaa.Njalii-giit dhanyavaad me.n Film : non-filmi Singer : Lata Mangeshkar Music Director : Jaidev Lyricist : Pt. Narendra Sharma Availability : ITRANS Highlights of the song: vo gae ki rah sake svata.ntrataa svadeshh kii vishva bhar me.n maanyataa ho mukti ke sa.ndesh kii praaN desh-praaN ke muurti svaabhimaan ke shuur viir aan ke ---------------------------------------------------------------------------- 34. Tum bhool na jaao unako is liye kahii ye kahaanii O countrymen just remember their sacrifices...(Non-Film) *** ai mere vatan ke logo.n tum khuub lagaa lo naaraa ye shubh din hai ham sab kaa laharaa lo tira.ngaa pyaaraa par mat bhuulo siimaa par viiro.n ne hai praaN ga.Nvaae kuchh yaad unhe.n bhii kar lo jo lauT ke ghar na aaye Film : Non-film Singer : Lata Mangeshkar Music Director : C Ramchandra Lyricist : Pradeep Availability : ITRANS Highlight of the song: whole song itself, but few are listed here sa.ngiin pe dhar kar maathaa so gaye amar balidaanii the dhanya javaan vo aapane thii dhanya vo unakii javaanii sarahad pe maranevaalaa har viir thaa bhaaratavaasii jo khuun giraa parvat par vo khuun thaa hi.ndustaanii jab ant-samay aayaa to kah gaye ke ab marate hai.n khush rahanaa desh ke pyaaro.n ab ham to safar karate hai.n kyaa log the vo dIvaane kyaa log the vo abhimaanii (guaranteed to tremble in your voice at this point, hats off to Pradeep) Last but not least (something to ponder...) ******************************************************* 35. Hum apne apne kheto main ghenu ki jagah chawal ki jagah yeh bunduuke kyuun boonte hain jab done hi ki galiyon mein kuch bhuunke baacche rote hein kuch bhuunke baacche rote hain *** jang to kuch roz ki hoti hai zindagi barso talak chalti hai .... .... mere dushman mere bhai mere humsaaye Film : Border Singer : Hariharan Music Director : Anu Malik Lyricist : Javed Akhtar Availability : New movie, the song was discussed in detail at NG Highlight of the song: The whole song itself