giitaayan An Interface to ISB

tere hote hue aaj mai.n luT rahii - Naastik (1954)  

Lyrics: Pradeep | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
tere hote hue aaj mai.n luT rahii mere maathe pe lag rahaa daaG are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N terii duniyaa me.n lag jaae aag (2) tere hote hue aaj mai.n luT rahii (laaj aatii hai mujhako ye kahate hu_e prabhu a.ndhaa naa ban aa.Nkh rahate hue) 2 mujhe Da.Nsane ko aae hai.n dekh zaraa terii bastii ke zahariile naag are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N terii duniyaa me.n lag jaae aag (2) tere hote hue aaj mai.n luT rahii wahaa.N baiThaa hai tuu kisii darabaar me.n yahaa.N izzat luTe rii merii baazaar me.n cha.nd chaa.Ndii ke Tuka.Do.n kii Khaatir yahaa.N (2) ek abalaa ke phuuT rahe bhaag are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N terii duniyaa me.n lag jaae aag (2) tere hote hue aaj mai.n luT rahii (kisii bhaaI kii bichha.Dii huI ek bahan bataa kab tak kare tere dukha.De sahan) 2 aaj zindaa chitaa par huu.N mai.n jal rahI jal rahe sab ummiido.n ke baaG are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N terii duniyaa me.n lag jaae aag (2) tere hote hue aaj mai.n luT rahii mere maathe pe lag rahaa daaG are patthar ke bhagawaan tuu hai kahaa.N terii duniyaa me.n lag jaae aag tere hote hue aaj mai.n luT rahii
The song was contributed by Narsingh Agnish on 23.03.2019 17:50:51.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.