giitaayan An Interface to ISB

ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii - Navrang (1959)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: C Ramchandra | Singer(s): Mahendra Kapur 
View in Nagari (Hindi)
naa raajaa rahegaa naa raanii rahegii ye duniyaa hai faanii aur faanii rahegii na jab ek bhii zi.ndagaanii rahegii to maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2 dikhaayegii raaNaa ke raN kii nishaanii kahegii shivaajii ke praN kii kahaanii bataaegii muGhalo.n kii baate.n ajaanii us Gaddaar jayacha.nd kii zi.ndagaanii ye aapas kii sab badGumaanii kahegii ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2 jo the desh dushman Ghulaamii ke raahii lage pherane is vatan par siyaahii videsho.n kii karane lage vaah-vaahii gayaa desh haatho.n se aayii tabaahii ye bhar-bhar ke aa.Nkho.n me.n paanii kahegii ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2 fir swaata.ntra kaa aisaa sa.ngraam aayaa ki har aadamii desh ke kaam aayaa la.Dii viir jhaa.Nsii kii raanii bhavaanii hazaaro.n ne laakho.n ne Jauhar jalaayaa ye kurbaaniyaa.N Khud zubaanii kahegii ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2 swaata.ntra kaa sa.ngraam nahii.n vo baGaavat thii, yahii itihaas kahataa hai (jalaa do)-2 ye itihaas jhooThe tumhaare yahaa.n zarre-zarre pe sach hai likhaa re zulam vo tumhaare sitam vo tumhaare karo yaad uf kaaranaame vo kaare ki patthar se aa.Nsuu kii dhaaraa bahegii ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2 ye maaTii hai tab se ki jab tum naa aaye ye maaTii rahegii na jab tum rahoge is maaTii ke niiche dabii hai.n kathaaye.n jo Khud hii kahegii re tum kyaa kahoge zamii.n aasamaa.N tharatharaa ke rahegii ye maaTii sabhii kii kahaanii kahegii-2
The song was contributed by Saket Jain on 06.10.2015 04:37:05.  

Back to Recently Posted Songs

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.