giitaayan An Interface to ISB

rab mere araj sun merii - Aag (1948)  

Lyrics: Saraswati Kumar 'Deepak' | Music: Ram Ganguli | Singer(s): Mukesh, Shailesh 
View in Nagari (Hindi)
mu : rab mere araj sun merii sharaN ab terii jis din se gayaa dil meraa dukho.n ne gheraa do : rab mere araj sun ... mu : kyo.n ruuTh rahe karataar merii sarakaar ( bataate jaa_o ) -2 kyaa hamase ho ga_ii bhuul ( hame.n batalaa_o ) -2 pa.Duu.N na paiyaa na ho naaraaz mere sarataaj ye dil ab teraa jis din se gayaa ... ko : rab mere araj sun ... shai : pa.Dii dil kii duniyaa suunii idhar bhii dekho ( idhar bhii aa_o ) -2 sab kha.De hu_e behaal zaraa musakaa_o na ab tarasaa_o lagaa aise nazar kaa tiir kalejaa chiir gayaa jo meraa jis din se gayaa ... mu : merii sunate jaa_o baat ( tumhaare jo.D rahaa huu.N mai.n haath ) -2 kyo.n mujhase jaate duur mere o nuur ( nibhaa do saath ) -2 zaraa baiTho ha.Nso-muskaa_o hame.n bahalaa_o basaa do Deraa jis din se gayaa ... ko : haay rab mere araj sun ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.