giitaayan An Interface to ISB

ronaa kabhii nahii.n ronaa chahe TuuT jaa_e - Apna Desh (1972)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
ronaa kabhii nahii.n ronaa chahe TuuT jaa_e ko_ii khilaunaa sonaa chupake se sonaa chahe TuuT jaa_e ko_ii sapanaa salonaa ronaa kabhii nahii.n ... dukh-sukh kii kyaa baat hai kyaa din hai kyaa raat hai aa.Nsuu bhii muskaan bane.n yah to apane haath hai aashaa_o.n kii Dorii me.n sadaa tum man ke phuul pironaa ronaa kabhii nahii.n ... dekho bachcho.n baaG me.n sab kaliyaa.N nahii.n khilatii.n duniyaa me.n i.nsaan ko sab chiize.n nahii.n milatii.n apanaa nahii.n tum usake li_e jo apanaa hai nahii.n khonaa ronaa kabhii nahii.n ... ra.ng se aur na dhaam se jaat se aur na naam se izzat milatii hai yahaa.N dekho achchhe kaam se ko_ii kaam buraa tum mat karanaa badanaam kabhii nahii.n honaa ronaa kabhii nahii.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.