giitaayan An Interface to ISB

hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa - Aadhi Raat (1950)  

Lyrics: Asad Bhopali | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Rafi, Lata 
View in Nagari (Hindi)
la : hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa -2 ta.Dap lete hai.n lekin unako ta.Dapaanaa nahii.n aataa hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa gha.Dii bhar ke liye bhii duur unase rah nahii.n sakate tumhe.n ham chaahate hai.n unase ye bhii kah nahii.n sakate naa jaane kyuu.N zubaa.N par dil kaa afasaanaa nahii.n aataa hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa ra : ko_ii haalat ho duniyaa pyaar kii aabaad rahatii hai kabhii jab wo nahii.n hote to unakii yaad rahatii hai mohabbat wo kalii hai jisako murajhaanaa nahii.n aataa hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa la : uma.nge.n jaag uTThii hai.n tamannaa muskaraa_ii hai hamaare dil ne aramaano.n kii ik mahafil sajaa_ii hai ye wo mahafil hai jisame.n ko_ii begaanaa nahii.n aataa hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa ta.Dap lete hai.n lekin unako ta.Dapaanaa nahii.n aataa hame.n duniyaa ko dil ke zaKm dikhalaanaa nahii.n aataa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.