giitaayan An Interface to ISB

kabhii Kaamosh rahate hai.n ... pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N - Aazaad (1955)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata, Male Voice 
View in Nagari (Hindi)
la : kabhii Kaamosh rahate hai.n kabhii ham aah bharate hai.n kisii ke vaaste kyaa-kyaa sitam is dil pe karate hai.n jo wo nazaro.n me.n nazare.n Daal kar Kud ham se ye puuchhe.n to dil pe haath rakh kar ham bhii kah de.n ##male## : kyaa la : tum pe marate hai.n ##male## : waah waah waah subahaan allaah la : pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N -2 ( taras rahii.n a.nkhiyaa.N baras rahii.n a.nkhiyaa.N ) -2 pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N ko_ii qadamo.n me.n unake jaa ke rakh aaye mere dil ko ke unake saamane khulatii nahii.n zaalim zabaa.N merii pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N -2 ( taras rahii.n a.nkhiyaa.N baras rahii.n a.nkhiyaa.N ) -2 pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N kisii kaa ho ke bhii usase judaa rahanaa hii pa.Dataa hai mohabbat ne diyaa jo Gam wo Gam sahanaa hii pa.Dataa hai aa kahaa.N tak dard-e-dil ko_ii chhupaaye apane siine me.n ta.Dap uThataa hai jab ye dil to ye kahanaa hii pa.Dataa hai ##male## : kyaa la : pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N -2 ( taras rahii.n a.nkhiyaa.N baras rahii.n a.nkhiyaa.N ) -2 pii ke daras ko taras rahii.n a.nkhiyaa.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.