giitaayan An Interface to ISB

yaad aa rahaa hai dil ko bhuulaa hu_aa zamaanaa - Amar Kahani/ ( Kanchan 1955) (1949)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Suraiya 
View in Nagari (Hindi)
( yaad aa rahaa hai dil ko yaad aa rahaa hai dil ko bhuulaa hu_aa zamaanaa ) -2 yaad aa rahaa hai dil ko har shay pe zi.ndagii thii har chiiz par jawaanii -2 aa.Nkho.n me.n ik kahaanii ho.nTho.n pe ik taraanaa yaad aa rahaa hai dil ko yaad aa rahaa hai dil ko bhuulaa hu_aa zamaanaa yaad aa rahaa hai dil ko unakii adaaye.n dil ko ab yaad aa rahii hai.n -2 chupake se unakaa aanaa aur mujhako chuum jaanaa yaad aa rahaa hai dil ko yaad aa rahaa hai dil ko bhuulaa hu_aa zamaanaa yaad aa rahaa hai dil ko dil ko Kabar nahii.n thii ban jaayegaa kisii din -2 do dil kaa muskuraanaa rone kaa ek bahaanaa ( yaad aa rahaa hai dil ko yaad aa rahaa hai dil ko bhuulaa hu_aa zamaanaa ) -2 yaad aa rahaa hai dil ko
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.