giitaayan An Interface to ISB

laal chha.Dii maidaan kha.Dii, kyaa khuub la.Dii, kyaa khuub la.Dii - Jaanwar (1965)  

Lyrics: Shailendra | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
laal chha.Dii maidaan kha.Dii, kyaa khuub la.Dii, kyaa khuub la.Dii ham dil se gae, ham jaa.N se gae bas aa.Nkh milii aur baat ba.Dhii (vo tiikhe tiikhe do nainaa, us shok se aa.Nkh milaanaa thaa dede ke qayaamat ko daavat, ek aafat se Takaraanaa thaa ) -2 mat puuchho ham par kyaa guzarii, bijalii sii girii aur dil pe pa.Dii ham dil se gae, haay, ham jaa.N se gae ... (tan tanakar zaalim ne apanaa, har tiir nishaane par maaraa (hai shukr kii ab tak zi.ndaa huu.N, mai.n dil kaa ghaayal bechaaraa ) -2 use dekhake laal dupaTTe me.n, maine naam diyaa hai laal chha.Dii ham dil se gae, haay, ham jaa.N se gae ... (ham ko bhii naa jaane kyaa suujhii, jaa pahu.nche usakii Tolii me.n (har baat me.n usakii thaa vo asar, jo nahii.n ba.nduuk kii golii me.n ) -2 ab kyaa hogaa, ab kyaa kiije, har ek gha.Dii mushkil kii gha.Dii ham dil se gae, haay, ham jaa.N se gae ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.