giitaayan An Interface to ISB

achchhaa jii ... chehare pe pasiine kii buu.nde jaise dhuup me.n - Bhaabhi (1991)  

Lyrics: Dev Kohli | Music: Annu Malik | Singer(s): Alka Yagnik, Udit Narayan 
View in Nagari (Hindi)
achchhaa jii achchhaa jii chehare pe pasiine kii buu.nde jaise dhuup me.n saavan kii jha.Diyaa.n ho merii bhiigii bhiigii zulfo.n se TuuTii hai.n shabanam kii la.Diyaa.n ye jurm hai terii javaanii kaa jo lag ga_ii.n tujhako hathaka.Diyaa.n haa.N haa.N hathaka.Diyaa.n dekho hathaka.Diyaa.n ye premii hai siidhaa saadaa ta.ng karo na mujhako jyaadaa khvaab me.n aanaa kar jaa vaadaa duniyaa vaalo.n kii hai baadhaa duniyaa vaale kyaa kar le.nge dekh ke hamako khuub jale.nge jaane bhii do na ##please## Dar lagataa hai haay kal paraso.n phir tumase mile.nge achchhaa jii ab ham to chale.nge achchhaa jii kahaa.N apane ghar are are kahaa.N apane ghar zulm na kar ai zulm na kar kal paraso.n phir tumase mile.nge achchhaa jii jii kyaa kahaa aapane ho terii jhaa.njhar kii is chham chham chham chham se giito.n kii madhur barasaat hu_ii ham dono.n usame.n bhiig ga_e ye anokhii baat hu_ii ye doSh hai tere kaajal kaa din Duub gayaa aur raat hu_ii haa.N haa.N raat hu_ii dekho raat hu_ii sunatii jaa tuu prem kahaanii ho ga_ii hai ye baat puraanii dekh raat hai ba.Dii tuufaanii mai.n nahii.n Daratii dilabarajaanii raat ho ga_ii taare khile.nge pyaar kare.nge gale mile.nge are are ko_ii dekh legaa dekhane do ruk jaa_o na kal paraso.n phir tumase mile.nge achchhaa jii achchhaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.