giitaayan An Interface to ISB

chaa.Ndanii raat aur taare khile ho.n - Bhakta Surdas (1942)  

Lyrics: D N Madhok | Music: Gyan Dutt | Singer(s): Khursheed, Saigal 
View in Nagari (Hindi)
khu : chaa.Ndanii raat aur taare khile ho.n -3 sai : taaro.n kii chhai.nyaa.N me.n do dil mile ho.n -2 khu : chaa.Ndanii raat aur taare khile ho.n -2 sai : badariyaa me.n chandaa gha.Dii bhar ko jaaye -2 khu : ko_ii mere kaano.n me.n kuchh kahane aaye -2 sai : ( maanuu.N to ha.Ns de khu : na maanuu.N to ruuThe ) -2 sai : duniyaa jise chaahe wo silasile ho.n -2 khu : chaa.Ndanii raat aur taare khile ho.n -2 sai : ( mai.n chup huu.N mai.n chup huu.N to unakaa jiyaa baiThaa jaaye khu : mai.n Tokuu.N mai.n Tokuu.N to unakaa jiyaa talamalaaye ) -2 kabhii mai.n manaa_uu.N kabhii wo manaaye.n -2 sai : nigaahe.n mile.n gul saare khile ho.n -2 do : chaa.Ndanii raat aur taare khile ho.n -2 taaro.n kii chhai.nyaa.N me.n do dil mile ho.n -2 chaa.Ndanii raat aur taare khile ho.n -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.