giitaayan An Interface to ISB

le aa_ii phir kahaa.N par - Salgirah (Pakistan) (1969)  

Lyrics: Shevan Rizvi | Music: Nashad | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
le aaI phir kahaa.N par, qismat hame.n kahaa.N se -2 ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par majabuur kar rahii hai, phir gardish-e-zamaanaa -2 ham chhe.D de.n vahii.n se, guzaraa huaa fasaanaa lekin koI bataa de, bhuule the ham kahaa.N se ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par terii hii a.njuman me.n, ye i.ntezaar teraa -2 tere baGair saathii, jashn-e-bahaar teraa ye kaun sii adaa hai, puuchhe.nge aasmaan se ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par mahafil me.n aapakii ham, kuchh aur to na laae -2 naGamaat me.n sajaakar, jazabaat leke aae yaad aae.nge bahut ham, jaae.nge jab yahaa.N se ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par, qismat hame.n kahaa.N se -2 ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.