giitaayan An Interface to ISB

dar bhii thaa ... tumase hii ghar ghar kahalaayaa - Bhabhi ki Chudiyan (1961)  

Lyrics: Narendra Sharma | Music: Sudhir Phadke | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
dar bhii thaa thii.n diivaare.n bhii tumase hii ghar ghar kahalaayaa suunaa ma.ndir thaa man meraa bujhaa diip thaa jiivan meraa pratimaa ke paavan charaNo.n me.n mai.n diipak banakar muskaayaa tumase hii ghar ghar ... devaalay ban gayaa suhaavanaa maa.N tumase meraa ghar-aa.Ngan aa.Nchal kii mamataa maayaa me.n paa_ii paa_ii sukh kii shiital chhaayaa tumase hii ghar ghar ... kaise ho guNagaan tumhaaraa jo kuchh bhii hai varadaan tumhaaraa tumane hii mere jiivan ke sapano.n ko sach kar dikhalaayaa tumase hii ghar ghar ... aa.Nkhe.n merii jyoti tumhaarii rah na ga_ii.n raahe.n a.ndhiyaarii rahane do mere maathe par maa.N tumane jo haath ba.Dhaayaa tumase hii ghar ghar ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.