giitaayan An Interface to ISB

mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye - Nirala (1950)  

Lyrics: P L Santoshi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
(mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye ) -2 chaaro.n taraf lagaae phere, phir bhI haradam dUr rahe ulfat dekho aag banii hai, milane se majabuur rahe yahii sazaa hai.n duniyA me.n yahii sazaa hai.n duniyA me.n, dIvaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye marane kA hai naam muhabbat, jalane kA hai naam javaanii patthar dil hai.n sunane vaale, kahane vaalaa aa.Nkh kA pAnI aa.Nsuu aaye aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu aaye aa.Nkho.n me.n, gir jaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye mahafil me.n jal uThii shamaa, paravaane ke liye priit banii hai.n duniyA me.n, mar jaane ke liye
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.