gusse me.n jo nikharaa hai us husn kaa kyaa kahanaa
kuchh der abhii hamase tum yuu.N hii Kafaa rahanaa -2
is husn ke saagar kii ik buu.Nd churaa le.n ham -2
in garm nigaaho.n ko siine se lagaa le.n ham -2
( pal bhar isii aalam me.n ) -2 ai jaan-e-adaa rahanaa
kuchh der abhii hamase ...
ye bahakaa hu_aa cheharaa ye bikharii hu_ii zulfe.n -2
ye cha.Dhatii hu_ii dha.Dakan ye ba.Dhatii hu_ii saa.Nse.n -2
( saamaan-e-kazaa ho tum ) -2 saamaan-e-kazaa rahanaa
kuchh der abhii hamase ...
pahale bhii hasii.n thii.n tum lekin ye haqiiqat hai -2
vo husn musiibat thaa ye husn qayaamat hai -2
( auro.n se to ba.Dhakar ho ) -2 khud ke bhii sivaa rahanaa
kuchh der abhii hamase ...
|