giitaayan An Interface to ISB

aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham - Phir Subah Hogi (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: Khayyam | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham (2) aajakal vo is taraf dekhataa hai kam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham aajakal kisii ko vo Tokataa nahii.n, chaahe kuchh bhii kijiiye rokataa nahii.n ho rahii hai luT maar phaT rahe hai.n bam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham aajakal vo is taraf dekhataa hai kam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham kisako bheje vo yahaa.N haath thaamane is tamaam bhii.D kaa haal jaanane aadamii hai.n anagiinat devataa hai.n kam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham aajakal vo is taraf dekhataa hai kam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham jo bhii hai vo Thiik hai zikra kyo.n kare.n ham hii sab jahaa.N kii fikra kyo.n kare.n jo bhii hai vo Thiik hai zikra kyo.n kare.n ham hii sab jahaa.N kii fikra kyo.n kare.n jab use hii Gam nahii.n to kyo.n hame.n ho Gam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham aajakal vo is taraf dekhataa hai kam aasamaa.N pe hai khudaa aur zamii.n pe ham
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.