giitaayan An Interface to ISB

meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai - Ijaazat (1987)  

Lyrics: Gulzar | Music: R D Burman | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai - 2 o o o ! saavan ke kuchh bhiige bhiige din rakhe hai.n aur mere ek khat me.n lipaTii raat pa.Dii hai vo raat bhulaa do, meraa vo saamaan lauTaa do - 2 meraa kuchh saamaan tumhaare paas pa.Daa hai - 2 patajha.D hai kuchh ... hai naa ? o ! patajha.D me.n kuchh patto.n ke girane kii aahaT kaano.n me.n ek baar pahan ke lauT aaI thii patajha.D kii vo shaakh abhii tak kaa.np rahii hai vo shaakh giraa do, meraa vo saamaan lauTaa do - 2 ek akelii chhatarii me.n jab aadhe aadhe bhiig rahe the - 2 aadhe suukhe aadhe giile, sukhaa to mai.n le aayii thii giilaa man shaayad bistar ke paas pa.Daa ho ! vo bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do ek sau solaa chaa.nd ki raate.n ek tumhaare kaa.ndhe kaa til - 2 giilii me.nhadii ki khushabuu, jhuTh-muuTh ke shikave kuchh jhuuTh-muuTh ke vaade sab yaad karaa duu.N sab bhijavaa do, meraa vo saamaan lauTaa do - 2 ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaauu.Ngii mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii mai.n bhii vahii.n so jaauu.ngii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.