giitaayan An Interface to ISB

raaz siine me.n mohabbat kaa chhupaa_e rakhanaa - Hum Hain Rahi Pyar Ke  

Lyrics: Jaan Nisar Akhtar | Music: Khayyam | Singer(s): Lata, Talat 
View in Nagari (Hindi)
la : raaz siine me.n mohabbat kaa chhupaa_e rakhanaa raaz siine me.n ta : shamaa jo dil me.n jalaa_ii hai jalaa_e rakhanaa shamaa jo dil me.n la : dil ke jazbaat niGaaho.n me.n khi.nche aate hai.n -2 ta : kitanaa dushvaar hai nazaro.n ko jhukaa_e rakhanaa kitanaa dushvaar hai ta : aaj to husn kaa jii bhar ke nazaaraa kar le.n -2 zulf apanii zaraa chehare se haTaa_e rakhanaa zulf apanii zaraa la : dil dha.Dakataa hai nazar yuu.N na milaa_o hamase -2 pyaar ko pyaar ke aadaab sikhaa_e rakhanaa pyaar ko pyaar ke ta : saamane tum ho to kyo.n hosh rahe duniyaa kaa -2 kyaa qayaamat hai ye daaman ko bachaa_e rakhanaa kyaa qayaamat hai la : raaz siine me.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.