giitaayan An Interface to ISB

ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa - Hamjoli (1946)  

Lyrics: Anjum Philbhiti | Music: Hafiz Khan | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
( ye desh ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa ) -2 ( hindustaan ke ham hai.n pyaare hindustaan hamaaraa pyaaraa ) -2 ye desh ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa ( maanaa ke hai.n ham hind ke rahane waale bhuukhe marate hai.n ) -2 ( lekin isake ann se ab bhii log jahaa.N ke palate hai.n ) -2 ye desh ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa (jaag uThe hai.n hind ke baasii ham ye zaahir kar de.nge ) -2 ( waqt pa.Daa to desh pe apanii jaan nichhaawar kar de.nge ) -2 ye desh ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa ( le ke rahe.nge ham aazaadii wo din aane waalaa hai wo din aane waalaa hai ) -2 ( jhaNDaa apanaa saarii duniyaa par laharaane waalaa hai ) -2 ye desh ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa hindustaan ke ham hai.n pyaare hindustaan hamaaraa pyaaraa ye desh ye desh hamaaraa pyaaraa hindustaan jahaa.N se nyaaraa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.