giitaayan An Interface to ISB

aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng (qavvaalii) - (Non-Film)  

Lyrics: Amjad Hyderabadi | Music: Aziz Ahmed Khan Warsi | Singer(s): Aziz Ahmed Khan Warsi 
View in Nagari (Hindi)
jo maa.Nganaa hai musabbib-e-sabab se maa.Ngo minnat se, Kushaamat se, adab se maa.Ngo kyU.N Gair ke aage haath phailaate ho ba.nde ho agar rab ke, to rab se maa.Ngo maayuus saayal ne jab ghar kii raah lii aa.Nkho.n me.n aa.Nsuu the, thii jholii Kaalii itane me.n rahamat jhu.njhalaake bolii maayuus jaataa hai kyU.N haath Kaalii saayal idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng Kush hote hai.n ham, terii sadaa se aa phir sadaa de, dilkash adaa se ai ba.nde mat ruuTh apane Kudaa se le haath phailaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng paidaa siqa.ndar ko kisane kiyaa thaa aadam ke haatho.n me.n kisane diyaa thaa tuu kyaa samajhakar vaapas chalaa thaa maayuus jaane ko kisane kahaa thaa aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng ham apanii shaan-e-rahamat dikhaae.n sab aarzue.n terii bar laae.n (tuu maa.Ngataa jaa, ham dete jaae.n tuu chup na ho jaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng) - 2 ab ye sukuun hai, ye be-qaraarii zor aur zar se, hehatar hai zaarii chhaaii hai tujhapar, rahamat hamaarii har dam hamaare fazl-o-karam kaa jaarii hai dariyaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng tuu hai bhikaarii, ham hai.n daataa le bhar le "amjad" kaasaa havas kaa ham bhii to dekhe.n, hai zarf kitanaa le haath phailaa, phir maa.Ng, phir maa.Ng aa aa idhar aa, phir maa.Ng, phir maa.Ng
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.