giitaayan An Interface to ISB

tuu harapal aane lagii hai nazar diivaanaapan is kadar - Jaan (Non-Film) (2000)  

Lyrics: Faiz Anwar | Music: Nikhil-Vinay | Singer(s): Sonu Nigam 
View in Nagari (Hindi)
tuu harapal aane lagii hai nazar diivaanaapan is kadar mai.n aksar Darataa huu.N ye sochakar diivaanaapan is kadar ye kaisaa teraa pyaar hai tuu harapal aane lagii ... naadaan shaayad hu_aa hai ye dil maane na kyuu.n baat merii jo chaahataa hai vo kar jaataa hai jab yaad aatii hai terii yuu.n to kabhii pahale na thii haalat merii hamasafar tuu harapal aane lagii ... har saa.Ns me.n ghulatii khushbuu hai tuu hotaa hai mahasuus mujhako us pal merii jaa.n nikalane lage jis pal mai.n dekhuu.n na tujhako khvaabo.n me.n tuu yaado.n me.n tuu aa.Nkho.n me.n tuu tuu hii tuu tuu harapal aane lagii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.