la : ai sanam
ai sanam aaj ye qasam khaa_e.N
mu.D ke ab dekhane kaa naam naa le.n
pyaar kii vaadiyo.n me.n kho jaa_e.N
ta : ai sanam aaj ye qasam khaa_e.N
faasale pyaar ke miTaa Daale.n
aur duniyaa se duur ho jaa_e.N
do : ai sanam aaj ye ...
ta : jis taraf jaa_e.N bahaaro.n ke salaam aa_e.Nge -2
aasamaano.n se bhii ra.ngiin payaam aa_e.Nge
la : teraa jalavaa hai jahaa.N merii jannat hai vahaa.N
tere ho.nTho.n kii ha.Nsii sau bahaaro.n kaa samaa.N
ta : ai sanam aaj ye ...
la : apanaa iimaan faqat apanii mohabbat hogii
ta : har gha.Dii ishq kii ik taazaa qayaamat hogii
la : dekh kar ra.ng-e-vafaa muskuraa_egaa Kudaa
ta : aur sochegaa zaraa ishq kyo.n paidaa kiyaa
do : ishq kyo.n paidaa kiyaa -2
ai sanam aaj ye ...
|