giitaayan An Interface to ISB

kabhii khushi kabhii Gam - Kabhi Khushi Kabhi Gham (2002)  

Lyrics: Sameer | Music: Jatin-Lalit | Singer(s): Lata/ Sonu Nigam 
View in Nagari (Hindi)
% Part 1: % aa kabhii Kushii kabhii Gam naa judaa ho.nge ham kabhii Kushii kabhii Gam aa aa merii saa.Nso.n me.n tuu hai samaayaa meraa jiivan to hai teraa saayaa terii puujaa karuu.N mai.n to haradam ye hai.n tere karam kabhii Kushii kabhii Gam subah-o-shaam charaNo.n me.n diye ham jalaa_e.N dekhe.n jahaa.n bhii dekhe.n tujhako hii paa_e.N in labo.n pe teraa bas teraa naam ho pyaar dil se kabhii bhii na ho kam ye hai.n tere karam kabhii Kushii kabhii Gam ye ghar nahii.n hai ma.ndir hai teraa is me.n sadaa rahe teraa baseraa o ye ghar nahii.n hai ma.ndir hai teraa is me.n sadaa rahe teraa baseraa khushbu_o.n se terii ye mahakataa rahe aa_e jaa_e bhale ko_ii mausam ye hai.n tere karam kabhii Kushii kabhii Gam merii saa.Nso.n me.n ... % % Part 2: % aa kabhii Kushii kabhii Gam naa judaa ho.nge ham kabhii Kushii kabhii Gam tere saath ho.ngii merii du_aa_e.N aa_e.N kabhii naa tujh pe ko_ii balaa_e.N meraa dil ye kahe tuu jahaa.N bhii rahe har gha.Dii har Kushii chuume tere kadam ye hai.n tere karam kabhii Kushii kabhii Gam % % Part 3: % aa kabhii Kushii kabhii Gam naa judaa ho.nge ham kabhii Kushii kabhii Gam kyaa bebasii hai ye kyaa majabuuriyaa.N ham paas hai.n phir bhii kitanii hai.n duuriyaa.N jism tuu jaan mai.n terii pahachaan mai.n mil ke bhii naa mile ye hai kaisaa bharam ye hai.n tere karam kabhii Kushii kabhii Gam naa judaa ho.nge ham
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.