giitaayan An Interface to ISB

sochanaa hai kyaa ... jaane kyaa hogaa ... sochaa nahii.n thaa ... ye kyaa ho gayaa - Kaante (2002)  

Lyrics: Dev Kohli | Music: Anand Raj Anand | Singer(s): Sanjay Dutt, Shaan, Zubin, Anand Raj Anand, Sudesh Bhonsale/ Shaan, Zubin 
View in Nagari (Hindi)
%Part 1: % ##Collar## ko tho.Daa saa uupar cha.Dhaa ke ##cigarette## ke dhu_e.N kaa chhallaa banaa ke sochanaa hai kyaa jo honaa hai hogaa chal pa.De hai.n fiqr yaar dhu_e.n me.n u.Daa ke jaane kyaa hogaa raamaa re jaane kyaa hogaa maulaa re ##dollar## bhii chaahi_e inhe.n ##pound## bhii chaahi_e sone ke sikko.n kaa ##sound## bhii chaahi_e he ba.ndaa ye DhiiTh hai ye kuchh nahii.n jaanataa is ko jo maa.ngataa to maal paanii maa.ngataa sochanaa hai kyaa ... apane begaane ye sab chho.D aa_e pyaar kii rasmo.n ko ye to.D aa_e a.njaane raasto.n ke vaaste ye zi.ndagii se bhii mu.Nh mo.D aa_e sochanaa hai kyaa ... Kud pe bharosaa hai Kud pe yakiin hai kar le.nge kaam chaahe.n jitanaa sa.ngiin hai pakke hai.n in ke jo dil me.n iraade hai aasamaa.n in kaa in kii zamiin hai sochanaa hai kyaa ... % %Part 2: % sochaa nahii.n thaa taqadiir yahaa.N laa_egii ma.nzil pe aate hii jaan chalii jaa_egii o ye to sika.ndar ne bhii nahii.n thaa sochaa aane se pahale Kushii lauT jaa_egii ham ne sochaa thaa kyaa aur kyaa se kyaa hu_aa jaa rahe hai.n aaj ye zamaane ko bataa ke ye kyaa ho gayaa raamaa re ye kyaa ho gayaa maulaa re teraa kusuur thaa yaa meraa kusuur thaa teraa guruur thaa yaa meraa guruur thaa rabbaa mai.n itanaa buraa nahii.n hotaa tuu agar bevafaa nahii.n hotaa itanaa bataa mujhe kyaa milaa tujhe gam ke ye kaa.NTe merii raaho.n me.n bichhaa ke ye kyaa ho gayaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.