giitaayan An Interface to ISB

mujhe jab jab bahaaro.n ... kal chaman thaa aaj ik - Khandaan (1965)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Ravi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
mujhe jab jab bahaaro.n kaa zamaanaa yaad aa_egaa kahii.n apanaa bhii thaa ik aashiyaanaa yaad aa_egaa kal chaman thaa aaj ik saharaa hu_aa dekhate hii dekhate ye kyaa hu_aa kal chaman thaa ... mujhako barabaadii kaa ko_ii Gam nahii.n -2 Gam hai barabaadii kaa kyo.n charchaa hu_aa kal chaman thaa ... ek chhoTaa saa thaa meraa aashiyaa.N -2 aaj tinake se alag tinakaa hu_aa kal chaman thaa ... sochataa huu.N apane ghar ko dekhakar -2 ho na ho ye hai meraa dekhaa hu_aa kal chaman thaa ... dekhane vaalo.n ne dekhaa hai dhu_aa.N -2 kisane dekhaa dil meraa jalataa hu_aa kal chaman thaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.