giitaayan An Interface to ISB

muhabbat bharaa koii paiGaam de yaa ashko.n me.n Duubii huii shaam de - Humraahi (1974)  

Lyrics: Shakeela Bano Bhopali | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Manna Dey, Mahendra Kapoor, Usha Timothy, chorus 
View in Nagari (Hindi)
aa... aa mahafil me.n aa gaye hai.n yaanii ke mushkil me.n aa gaye hai.n are, mahafil me.n aa gaye hai.n mauqaa hai ye Kushii kaa ham sabakaa jaam bhar de, mausam hai maikashii kaa par Kataraa hai zi.ndagii kaa kyaa haal hogaa jaane ab apanii ##family## kaa muhabbat bharaa koii paiGaam de yaa ashko.n me.n Duubii huii shaam de hame.n dard de yaa aaraam de ab ye chho.D diyaa hai tujhape chaahe zahar de yaa jaam de tuu jo chaahe mere giito.n ko tabassum de de merii aa.Nkho.n ko chamak lab tabassum de de aa shab-e-vasl haTaakar ke shab-e-Gam mujhako de de tere kabze me.n hai jannat ke jahannum de de sazaa hame.n yaa, iimaan de ab ye chho.D diyaa hai tujhape chaahe zahar de yaa jaam de dil lubhaane ke liye koii chhamaachham de de chhananananan chham chhanan chham chhanan chham de de baat ban jaae haay haay agar chaa.Nd sii begam de de ho gayaa hai terii jannat kaa ##house-full## to kisii huur ke pahaluu me.n jahannum de de yaa bekaar rakh yaa koii kaam de ab ye chho.D diyaa hai tujhape chaahe zahar de yaa jaam de merii aa.Nkho.n kaa aisaa jaaduu hai ki luTere bhii luT jaate hai.n aa.Nkh kyaa shay hai aur jaaduu puuchh ke maa.N se apanii aate hai.n kaaTate hai.n pahaa.D shiishe se aise hotaa hai aashiqo.n kaa jigar dekh lo ek nazar TuuTii jaatii hai kamar tum dekho Gair nahii.n jaan kii Kair nahii.n merii zulf hai ghaTaa taar ba.nduuk haTaa terii zulfo.n kii qasam terii muuchho.n kii qasam tere ho.nTho.n kii qasam tere noTo.n kii qasam saa re saa re gaa maa paa dhaa paa dhaa nii saa -3 mai.n kahaa.N pha.Nsaa -4 aa aa gaa maa paa dhaa saa nii mujhe yaad aaii naanii -2 are paa -3 gaa maa mar gaye ham nii nii saa re praaN bachaa re nii nii saa re saa re kR^ishhNa hamaare praaN bachaa re saa re gaa maa gaa re saa hare kR^ishhNa hare raamaa raam saa re saa re gaa maa gaa re saa hare kR^ishhNa hare raam raam raam
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.