giitaayan An Interface to ISB

zaraa jhuumane do ... mujhe dekhi_e mai.n ko_ii daastaa.N huu.N - Lutera (1965)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
zaraa jhuumane do ke masaruur huu.N mai.n yahaa.N huu.N yahaa.N se bahut duur huu.N mai.n mujhe dekhi_e mai.n ko_ii daastaa.N huu.N -2 bahut kuchh hai dil me.n magar bezubaa.N huu.N mujhe dekhi_e mai.n ... jinhe.n yaad huu.N mai.n bhulaa_e.Nge kaise mujhe bazm se vo ( uThaa_e.Nge kaise ) -2 jalii to shamaa thii bujhii to dhu_aa.N huu.N mujhe dekhi_e mai.n ... abhii chaahatii huu.N zaraa muskaraanaa kabhii phir karuu.Ngii bayaa.N ye fasaanaa mujhe jaan legaa ( kisii din zamaanaa ) -3 bahaar-e-chaman huu.N ke daur-e-Kizaa.N huu.N mujhe dekhi_e mai.n ... shiqast-e-muhabbat bhalaa kaise maanuu.N ajii dard-e-dil ko davaa kaise maanuu.N ki mai.n ek but ko ( Kudaa kaise maanuu.N ) -2 buto.n kii Kudaa_ii pe mai.n badagumaa.N huu.N mujhe dekhi_e mai.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.