giitaayan An Interface to ISB

kisii ko pataa na chale baat kaa ki hai aaj vaadaa mulaaqaat kaa - Lutera (1965)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
( kisii ko pataa na chale baat kaa ki hai aaj vaadaa mulaaqaat kaa ) -2 buraa haal hai dil ke jazbaat kaa ki hai aaj vaadaa ... na din thaa na dil me.n ye aramaan the -2 ye lab muskaraahaT se anjaan the judaa_ii me.n ham to pareshaan the Kudaa meharabaa.N thaa na insaan the magar aaj kyaa zikr sadamaat kaa ki hai aaj vaadaa ... muhabbat ajii yuu.N machalane lagii -2 shammaa jaise mahafil me.n jalane lagii chhurii maan lo dil pe chalane lagii ko_ii dil kii hasarat nikalane lagii badalane lagaa ra.ng haalaat kaa ki hai aaj vaadaa ... sajaa_o ye raahe.n bichhaa_o nigaahe.n -2 Kabar unakii aa_ii nazar muskaraa_ii hu_aa hai ishaaraa milegaa sahaaraa muhabbat kii pyaasii miTegii udaasii kii diidaar hogaa abhii pyaar hogaa banegaa fasaanaa kisii baat kaa ki hai aaj vaadaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.