giitaayan An Interface to ISB

dhaaginaa tinak dhin ... jab tak ye sa.nsaar nachaa_e - Mere Lal (1966)  

Lyrics: Majrooh | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Mukesh, Usha/ Usha 
View in Nagari (Hindi)
mu : ( dhaaginaa tinak dhin ) -2 taa thaiyaa ( dhaaginaa tinak dhin ) -3 vaah bhaiyaa jab tak ye sa.nsaar nachaa_e jab tak ye sa.nsaar jab tak ye sa.nsaar nachaa_e jhuum-jhuum ke naache jaa dhaaginaa tinak dhin ... are vaah mere baa.Nke naacho isii laTak se lachakaa_o re kamariyaa ho zaraa aur maTak ke jag tujhape ha.Nse to chal sar ko jhaTak ke zaraa aur maze se pyaare Thumak-Thumak ke sar par Topii laal sajaa_e sar par Topii laal sar par Topii laal sajaa_e muu.Nchh taan ke naache jaa dhaaginaa tinak dhin ... uu : dhaaginaa tinak dhin ... mu : pag dekh ruke naa chaahe bahe pasiinaa ho terii raah take hai kahii.n ko_ii hasiinaa sapano.n me.n basar ho chaahe ka_ii mahiinaa shiqavaa mat kariyo pyaare yahii hai jiinaa jab tak pag betaal na jaa_e yuu.N hii umar bhar naache jaa do : dhaaginaa tinak dhin ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.