giitaayan An Interface to ISB

zulf ke pha.nde me.n pha.Ns ga_ii jaa.N - Mujrim (1958)  

Lyrics: Majrooh | Music: O P Nayyar | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
zulf ke pha.nde me.n pha.Ns ga_ii jaa.N mar gayaa mai.n to o merii maa.N -2 vaah mere daataa tere dar se ajab taqadiir milii zulf kii hasarat dil ko hu_ii to za.njiir milii uupar vaale Kuub nikaale is dil ke aramaa.N zulf ke pha.nde me.n ... pyaar kuchh buujhe nahii.n bhalaa-buraa suujhe nahii.n din ho ke rain ba.De buu.Dhe sach hii to kah ga_e hote nahii.n pyaar ke nain pyaar thaa a.ndhaa tabhii to ye ba.ndaa jel kaa hai mehamaa.N zulf ke pha.nde me.n ... ishq kii duniyaa ajab hai kahaa thaa majaruuh ne kal kuchh to banegaa beTaa chakale me.n ghuumo.n chaahe taajamahal laakh tuu bhaa.Npe ma.ntar jaape ishq nahii.n aasaa.N zulf ke pha.nde me.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.