giitaayan An Interface to ISB

ek chhail\-chhabiilaa ... alabele sai.nyaa.N jhulanaa jhulaa jaa re - Maalik (1958)  

Lyrics: Shakeel | Music: Ghulam Mohammad | Singer(s): Suraiya, Shamshad, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
% kosh mentions the following words probably in prelude. % the version I have does not have it. % ek chhail-chhabiilaa su : alabele sai.nyaa.N jhulanaa jhulaa jaa re ko : alabele sai.nyaa.N jhulanaa jhulaa jaa re su : aa_ii rimajhim ko : ho aa_ii rimajhim su : ho aa_ii rimajhim rut ab aa jaa ko : alabele sai.nyaa.N jhulanaa jhulaa jaa re -2 su : jhuuluu.N akele jhuuluu.N akele kaise hi.nDolaa aa jaa re baalam le kar Dolaa ko : aa jaa re baalam le kar Dolaa su : aa jaa re baalam le kar Dolaa ko : le kar Dolaa su : ho piyaa-milan ke din hai.n sajaniyaa ho paahu le ghu.NghaTaa ban jaa dulhaniyaa ko : ho paahu le ghu.NghaTaa ban jaa dulhaniyaa su : jo hai chhup-chhup ko : ho jo hai chhup-chhup su : ho jo hai chhup-chhup dekhe toraa raajaa ko : alabele sai.nyaa.N jhulanaa jhulaa jaa re -2 su : prem kaa jhuulaa Daal ke man me.n Daal ke man me.n ko : prem kaa jhuulaa Daal ke man me.n su : aa_uu.N gagan se jaa_uu.N gagan me.n ho aa_uu.N gagan se jaa_uu.N gagan me.n ko : aa_uu.N gagan se jaa_uu.N gagan me.n su : o aage ba.Dhuu.N to darashan pii ke piichhe haTuu.N to sab ra.ng phiike ko : hoy piichhe haTuu.N to sab ra.ng phiike su : morii aa.Nkho.n me.n ko : morii aa.Nkho.n me.n su : ho morii aa.Nkho.n me.n balamaa samaa.N jaa ko : alabele sai.nyaa.N jhulanaa jhulaa jaa re -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.